Thahre hue mausam ki ek nazm
kabhī muñh se āvāz hāthoñ se qismat aur āñkhoñ se pahlī masarrat kā paanī gire
to use mat uThānā
kabhī raat kī shaal se chāñd sāloñ kī muTThī se ḳhushbū zamīnoñ kī jholī se ḳhurāk
aur dil se qurbat kī ḳhvāhish gire
to use uThānā
kabhī shaam ke ghoñsle se parinda fajr se ibādat kā choġhā pahāḌoñ se
sarmā kā pahlā meñh gire
to use mat uThānā
kabhī āsmānoñ se harf-e-munājāt shāhīn kī āñkhoñ se aañsū havāoñ
se lambe safar kī hikāyat
ġhulāmoñ ke dāman se āzād sub.hoñ kī saa.at gire
to use mat uThānā
kabhī paañv se hausla aam ke peḌ se baur bachchoñ kī muTThī se lorī aur fasloñ pe
phailī huī dhuup kaT kar gire
to use mat uThānā
nigāh apne dushman pe rakhnā
safar ko amānat samajhnā
aur a.asāb jhukne na denā
ki sab chīzeñ apne se behtar ko apnī jagah de ga.ī haiñ
kabhi munh se aawaz hathon se qismat aur aankhon se pahli masarrat ka pani gire
to use mat uThana
kabhi raat ki shaal se chand salon ki muTThi se KHushbu zaminon ki jholi se KHurak
aur dil se qurbat ki KHwahish gire
to use uThana
kabhi sham ke ghonsle se parinda fajr se ibaadat ka chogha pahaDon se
sarma ka pahla meinh gire
to use mat uThana
kabhi aasmanon se harf-e-munajat shahin ki aankhon se aansu hawaon
se lambe safar ki hikayat
ghulamon ke daman se aazad subhon ki saat gire
to use mat uThana
kabhi panw se hausla aam ke peD se baur bachchon ki muTThi se lori aur faslon pe
phaili hui dhup kaT kar gire
to use mat uThana
nigah apne dushman pe rakhna
safar ko amanat samajhna
aur aasab jhukne na dena
ki sab chizen apne se behtar ko apni jagah de gai hain
- Book : adhuri kulliyaat (Pg. 115)
- Author : asGar nadeem sayyad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.