thaka thaka sa badan
aah ruuh
bojhal bojhal
kahāñ pe haath se kuchh chhūT gayā yaad nahīñ
na jaane kis ke chīḳhne kī ye āvāz aa.ī
aur ehsās darāḌoñ meñ kaise jā pahuñchā
nagar vīrāñ
jharoke ḳhamosh
muñDereñ chup ḳhamoshī uf ki ḳhalāoñ kā dam bhī ghuTne lagā
achānak aa ga.ī ho maut vaqt ko jaise
haa.e raftār kī nabzeñ rukeñ
dil baiTh gayā
kahāñ shurūa hue ye silsile kahāñ TuuTe
na is sire kā pata hai na vo sirā ma.alūm
aah ruh
bojhal bojhal
kahan pe hath se kuchh chhuT gaya yaad nahin
na jaane kis ke chiKHne ki ye aawaz aai
aur ehsas daraDon mein kaise ja pahuncha
nagar viran
jharoke KHamosh
munDeren chup KHamoshi uf ki KHalaon ka dam bhi ghuTne laga
achanak aa gai ho maut waqt ko jaise
hae raftar ki nabzen ruken
dil baiTh gaya
kahan shurua hue ye silsile kahan TuTe
na is sire ka pata hai na wo sira malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.