thakan
'ajīb kaifiyat se do-chār huuñ
is samay merī āḳhirī ḳhvāhish pūchhī jaatī to maiñ aisā shaḳhs māñgtā jo merī thakan baañT le
tumhāre hijr meñ jangal ghūmnā chāhtā huuñ
hijr ek ḳhizāñ hai yā kuchh aur hai
havā-e-hijr ne tamām peḌ jalā diye haiñ har-sū vīrānī hai
merā ḳhud par se e'timād uTh gayā hai
dālān se andar kī jānib girte paḌte vast meñ aa kar ek bheḌiye kā ruup dhaar kar nochne lagte haiñ
mere misroñ ke aksar-o-beshtar rukn tumhārī ‘adam-maujūdgī par ehtijājan gir rahe haiñ
nīlam kā nīlgūñ paanī kahīñ rah gayā hai
jehlam apne andar ḳhizā.eñ ghol rahā hai
maiñ shāyad ek ‘umr-rasīda shaḳhs huuñ
ek sunsān jazīre meñ kisī mo'jize kā muntazir khaḌā huuñ
is se pahle ki tumhāre palaTne ke ḳhauf meñ mubtalā ho jā.ūñ
tumheñ chāhiye ki mere liye lā-mutanāhī hijr kī du'ā māñgo
'ajib kaifiyat se do-chaar hun
is samay meri aaKHiri KHwahish puchhi jati to main aisa shaKHs mangta jo meri thakan banT le
tumhaare hijr mein jangal ghumna chahta hun
hijr ek KHizan hai ya kuchh aur hai
hawa-e-hijr ne tamam peD jala diye hain har-su virani hai
mera KHud par se e'timad uTh gaya hai
dalan se andar ki jaanib girte paDte wast mein aa kar ek bheDiye ka rup dhaar kar nochne lagte hain
mere misron ke aksar-o-beshtar rukn tumhaari ‘adam-maujudgi par ehtijajan gir rahe hain
nilam ka nilgun pani kahin rah gaya hai
jehlam apne andar KHizaen ghol raha hai
main shayad ek ‘umr-rasida shaKHs hun
ek sunsan jazire mein kisi mo'jize ka muntazir khaDa hun
is se pahle ki tumhaare palaTne ke KHauf mein mubtala ho jaun
tumhein chahiye ki mere liye la-mutanahi hijr ki du'a mango
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.