thakan
kaT ga.e apnī javānī ke mah-o-sāl yūñhī
roz-o-shab kūcha-o-bāzār meñ mañDlāte hue
kabhī hañs kar kabhī ro kar kabhī ḳhāmoshī se
dil-e-betāb ko har gaam pe bahlāte hue
husn se ham ko aqīdat thī so har hālat meñ
giit gaate hī rahe mahfil-e-ḳhūbāñ ke liye
shāh-rāhoñ pe bayābānoñ meñ sahrāoñ meñ
phuul ham chunte rahe un ke shabistāñ ke liye
raat bhar ashk bahāte the magar sub.h ko ham
aa.ine laate rahe zulf-e-pareshāñ ke liye
phir bhī logoñ ne vafādār na samjhā ham ko
bazm-e-ḳhūbāñ meñ koī ham se muḳhātib na huā
duur hī duur rahe saare hasīñ nazzāre
ajnabī hī kī tarah ham ko har ik ne dekhā
kabhī mai-ḳhāne meñ baiThe to ye sochā ham ne
husn ke qāfila-e-ḳhvāb kī manzil hai sharāb
nasha ab aatā hai ab uThtā hai chehre se naqāb
saiñkaḌoñ baar yūñhī rāsta dekhā ham ne
nasha aayā na koī raaz kisī ne kholā
ham to uTh aa.e vahāñ se bhī bahar-hāl yūñhī
kaT ga.e apnī javānī ke mah-o-sāl yūñhī
kaT gae apni jawani ke mah-o-sal yunhi
roz-o-shab kucha-o-bazar mein manDlate hue
kabhi hans kar kabhi ro kar kabhi KHamoshi se
dil-e-betab ko har gam pe bahlate hue
husn se hum ko aqidat thi so har haalat mein
git gate hi rahe mahfil-e-KHuban ke liye
shah-rahon pe bayabanon mein sahraon mein
phul hum chunte rahe un ke shabistan ke liye
raat bhar ashk bahate the magar subh ko hum
aaine late rahe zulf-e-pareshan ke liye
phir bhi logon ne wafadar na samjha hum ko
bazm-e-KHuban mein koi hum se muKHatib na hua
dur hi dur rahe sare hasin nazzare
ajnabi hi ki tarah hum ko har ek ne dekha
kabhi mai-KHane mein baiThe to ye socha hum ne
husn ke qafila-e-KHwab ki manzil hai sharab
nasha ab aata hai ab uThta hai chehre se naqab
sainkaDon bar yunhi rasta dekha hum ne
nasha aaya na koi raaz kisi ne khola
hum to uTh aae wahan se bhi bahar-haal yunhi
kaT gae apni jawani ke mah-o-sal yunhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.