Thes
komal vo saarī āshā.eñ
jo phūloñ ke akhvoñ kī sūrat meñ nikleñ
narm mulā.im chāhat kī sub.hoñ kī halkī dhuup meñ jin kī
ḳhushbū gulshan ke kone kone meñ phailī
dostī pyaar mohabbat kī har ik sā'at meñ
jo rim-jhim barkhā sī barseñ
komal vo saarī āshā.eñ
ik din
us ke hāthoñ se gir kar yuuñ TūTeñ
kāñch ke bartan jaise
kirchī kirchī ho kar bikhreñ
aur phir un ke reze
simaT ke merī āñkhoñ meñ
chubh ga.e hazāroñ kāñToñ jaise
ye reze ye kāñTe shāyad
vaqt kī rau meñ bah jā.eñge
ashkoñ ke rele meñ
lekin is ehsās se ab kyā chhuTkārā hai
mere dukh par
mere ziyāñ par
us ke dil ko bhī kyā
koī Thes lagī hai
komal wo sari aashaen
jo phulon ke akhwon ki surat mein niklen
narm mulaim chahat ki subhon ki halki dhup mein jin ki
KHushbu gulshan ke kone kone mein phaili
dosti pyar mohabbat ki har ek sa'at mein
jo rim-jhim barkha si barsen
komal wo sari aashaen
ek din
us ke hathon se gir kar yun TuTen
kanch ke bartan jaise
kirchi kirchi ho kar bikhren
aur phir un ke reze
simaT ke meri aankhon mein
chubh gae hazaron kanTon jaise
ye reze ye kanTe shayad
waqt ki rau mein bah jaenge
ashkon ke rele mein
lekin is ehsas se ab kya chhuTkara hai
mere dukh par
mere ziyan par
us ke dil ko bhi kya
koi Thes lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.