tifl-e-arzu
ek mujavvaf adse se
maiñ duniyā ko dekh rahā thā
jañgal maidāñ ret ke Tiile
saql-e-zamīñ se apnā rishta toḌ rahe the
duur kināre dariyā ke
saath purānā chhoḌ rahe the
bahtī havāoñ ke dāman ko
girte parbat thaam rahe the
aur un sab ke pīchhe
merī āñkheñ phail ga.ī thiiñ
merī naak bahut lambī thī
vo bolī pahchāno
āhista se pīchhe aa kar kis ne āñkheñ mūñdeñ
adsa pheñk ke maiñ ne us ke dast-e-hinā.ī thaam liye
aur us kī āġhosh meñ chhup kar
jaane kab tak royā
ek mujawwaf adse se
main duniya ko dekh raha tha
jangal maidan ret ke Tile
saql-e-zamin se apna rishta toD rahe the
dur kinare dariya ke
sath purana chhoD rahe the
bahti hawaon ke daman ko
girte parbat tham rahe the
aur un sab ke pichhe
meri aankhen phail gai thin
meri nak bahut lambi thi
wo boli pahchano
aahista se pichhe aa kar kis ne aankhen munden
adsa phenk ke main ne us ke dast-e-hinai tham liye
aur us ki aaghosh mein chhup kar
jaane kab tak roya
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-274 p-262)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.