tin rang ek rang
tum patang ban ke havāoñ meñ tairtī phiro
aur Dor mire hāthoñ ko kāTtī rahe
par par zaḳhmī aur āñkheñ tere rangoñ meñ uljhī raheñ
lahū bahtā rahe
aur aas tujhe chāhne kī
āsmān ban ke tire chāroñ taraf bikhar jaa.e
shaam utre to terī āñkhoñ kā rang
mujhe apnī panāh meñ sameT le
aur terī rāhoñ par merā ik ik lams bikher de
terī rāhoñ kā kuchh patā to hogā
aur tere vaqt kī koī manzil to hogī jaan
(2)
ek maiñ tanhā ek vo tanhā
ek vo jis se maiñ tumhārī kathā kahtā huuñ
ek vo jo kisī kī kathā se mujh meñ zinda
aur tum tanhā
lo ye bhī koī baat huī tum ne kahā
haañ ye bāteñ aur in bātoñ ke nukīle kuñgre
jab terī jaan meñ aTakte haiñ
to tumhāre nāḳhunoñ meñ aisī shafaq dahaktī hai
jo sun na sake kuchh kah na sake
tab merī umañgoñ par ik aag lahrātī hai
aur maiñ tujhe un ḳhud-rav jañgalī phūloñ se tashbīh detā huuñ
jo sirf apnī vahshat meñ zinda rahte haiñ
(3)
zaḳhm khul ga.e haiñ jānāñ
aur havā.eñ chāroñ taraf se umDī paḌī haiñ
tum patang ban ke hawaon mein tairti phiro
aur Dor mere hathon ko kaTti rahe
par par zaKHmi aur aankhen tere rangon mein uljhi rahen
lahu bahta rahe
aur aas tujhe chahne ki
aasman ban ke tere chaaron taraf bikhar jae
sham utre to teri aankhon ka rang
mujhe apni panah mein sameT le
aur teri rahon par mera ek ek lams bikher de
teri rahon ka kuchh pata to hoga
aur tere waqt ki koi manzil to hogi jaan
(2)
ek main tanha ek wo tanha
ek wo jis se main tumhaari katha kahta hun
ek wo jo kisi ki katha se mujh mein zinda
aur tum tanha
lo ye bhi koi baat hui tum ne kaha
han ye baaten aur in baaton ke nukile kungre
jab teri jaan mein aTakte hain
to tumhaare naKHunon mein aisi shafaq dahakti hai
jo sun na sake kuchh kah na sake
tab meri umangon par ek aag lahraati hai
aur main tujhe un KHud-raw jangali phulon se tashbih deta hun
jo sirf apni wahshat mein zinda rahte hain
(3)
zaKHm khul gae hain jaanan
aur hawaen chaaron taraf se umDi paDi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.