tirgi
kitnī tārīk hai shab
har taraf kaalī balāoñ kā hujūm
ahraman jaag rahā hai kab se
dauḌte phirte haiñ tārīkī meñ
raat ke kitne bhayānak saa.e
dil laraz uThtā hai rah-rah ke mirā
is añdhere meñ jo aatī hai sadā
haat se haath ke Takrāne kī
raat tārīk hai aur tū bhī mire paas nahīñ
tere aane kī koī aas nahīñ
dasht-e-tanhā.ī hai aflāk kī pahnā.ī hai
mere āvāra ḳhayāloñ kī ghaTā chhā.ī hai
zindagī jaam se Takrātī hai mai-ḳhānoñ meñ
chhup ke baiThī hai magar aaj nihāñ-ḳhānoñ meñ
rang bhartī nahīñ afsānoñ meñ
chāñd kī samt hai parvāz junūñ vāloñ kī
baat hī aur hai dīvānoñ kī
ek hī jast meñ aflāk pe jā pahuñche haiñ
maiñ kahāñ huuñ ki añdhere ke sivā
aur yahāñ kuchh bhī nahīñ
duur hai qāfila-e-sub.h-e-bahār
āgahī raah meñ milte hue katrātī hai
raat tārīk hai aur tū bhī mire paas nahīñ
tere aane kī koī aas nahīñ
is añdhere meñ magar ḳhūn-e-jigar kī sham.eñ
apne vīrāne meñ raushan kar luuñ
mujh ko tā-sub.h isī taur pe jalnā hogā
jām-e-ḳhurshīd uThāne ke liye
nūr-e-ḳhurshīd ko palkoñ meñ chhupāne ke liye
kitni tarik hai shab
har taraf kali balaon ka hujum
ahraman jag raha hai kab se
dauDte phirte hain tariki mein
raat ke kitne bhayanak sae
dil laraz uThta hai rah-rah ke mera
is andhere mein jo aati hai sada
hat se hath ke Takrane ki
raat tarik hai aur tu bhi mere pas nahin
tere aane ki koi aas nahin
dasht-e-tanhai hai aflak ki pahnai hai
mere aawara KHayalon ki ghaTa chhai hai
zindagi jam se Takraati hai mai-KHanon mein
chhup ke baiThi hai magar aaj nihan-KHanon mein
rang bharti nahin afsanon mein
chand ki samt hai parwaz junun walon ki
baat hi aur hai diwanon ki
ek hi jast mein aflak pe ja pahunche hain
main kahan hun ki andhere ke siwa
aur yahan kuchh bhi nahin
dur hai qafila-e-subh-e-bahaar
aagahi rah mein milte hue katraati hai
raat tarik hai aur tu bhi mere pas nahin
tere aane ki koi aas nahin
is andhere mein magar KHun-e-jigar ki shamen
apne virane mein raushan kar lun
mujh ko ta-subh isi taur pe jalna hoga
jam-e-KHurshid uThane ke liye
nur-e-KHurshid ko palkon mein chhupane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.