tisri pali
vo bhī ik achchhā musavvir thā
pichhle balve meñ hī us ke
donoñ baazū kaT ga.e
aur us balve meñ us kī
donoñ āñkheñ bujh ga.iiñ
nūr-e-fitrat kī sabhī shakleñ miTīñ
baḌī mushkil se us andhe musavvir ko
ek kamra chaal meñ hī mil gayā
aur paḌosan ke vasīle se javāñ beTī ko bhī
kār-ḳhāne meñ sadā kī tīsrī paalī milī
ab vo maañ kī god meñ rātoñ ko sotī bhī nahīñ
maañg afshāñ chūḌiyoñ kī zid meñ rotī bhī nahīñ
wo bhi ek achchha musawwir tha
pichhle balwe mein hi us ke
donon bazu kaT gae
aur us balwe mein us ki
donon aankhen bujh gain
nur-e-fitrat ki sabhi shaklen miTin
baDi mushkil se us andhe musawwir ko
ek kamra chaal mein hi mil gaya
aur paDosan ke wasile se jawan beTi ko bhi
kar-KHane mein sada ki tisri pali mili
ab wo man ki god mein raaton ko soti bhi nahin
mang afshan chuDiyon ki zid mein roti bhi nahin
- Book : Ak Qatra ak Samandar (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.