tilism-e-tahayyur
azal se hai ye zindagī
fanā ke dasht meñ ravāñ
nishān-e-be-nishāñ hai ye
kabhī yahāñ kabhī vahāñ
kabhī azān-e-sub.h meñ
kabhī jaras meñ gūñjtī
kabhī sukūt-e-shab meñ hai
kabhī safar ḳhalāoñ meñ
kabhī hai gum fazāoñ meñ
zamīñ se āsmān tak
mah-o-nujūm se pare
jahān-e-nau kī justujū
nuqūsh-e-pā-e-zindagī ke kuchh nishān to mileñ
tilism TūTtā nahīñ
har ek pal tahayyurāt kā jahāñ
azal abad
safar safar
hai lā-zavāl silsila
azal se hai ye zindagi
fana ke dasht mein rawan
nishan-e-be-nishan hai ye
kabhi yahan kabhi wahan
kabhi azan-e-subh mein
kabhi jaras mein gunjti
kabhi sukut-e-shab mein hai
kabhi safar KHalaon mein
kabhi hai gum fazaon mein
zamin se aasman tak
mah-o-nujum se pare
jahan-e-nau ki justuju
nuqush-e-pa-e-zindagi ke kuchh nishan to milen
tilism TuTta nahin
har ek pal tahayyuraat ka jahan
azal abad
safar safar
hai la-zawal silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.