tera lahja
tirā lahja nihāyat ḳhūbsūrat hai
tire alfāz meñ anmol apnā-pan jhalaktā hai
tirī āvāz meñ ġhazloñ kā dhīmā-pan mahaktā hai
koī sur hai koī lai hai tirī sāñsoñ meñ sargam hai
picasso shakespeare aur tū 'ġhālib' kā sangam hai
tire nāzuk ishāroñ par
mirā man mor ban kar raqs kartā hai
tirā chehra achānak aa.ine meñ jab ubhartā hai
dar-o-dīvār kamre ke mujhe mahkāne lagte haiñ
tirī āvāz meñ khiḌkī ke parde gaane lagte haiñ
mirā vijdān kahtā hai
ye kamre meñ paḌā gul-dān kahtā hai
tirā lahja nihāyat ḳhūbsūrat hai
tera lahja nihayat KHubsurat hai
tere alfaz mein anmol apna-pan jhalakta hai
teri aawaz mein ghazlon ka dhima-pan mahakta hai
koi sur hai koi lai hai teri sanson mein sargam hai
picasso shakespeare aur tu 'ghaalib' ka sangam hai
tere nazuk ishaaron par
mera man mor ban kar raqs karta hai
tera chehra achanak aaine mein jab ubharta hai
dar-o-diwar kamre ke mujhe mahkane lagte hain
teri aawaz mein khiDki ke parde gane lagte hain
mera wijdan kahta hai
ye kamre mein paDa gul-dan kahta hai
tera lahja nihayat KHubsurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.