tere liye
phir dil hai aaj ġharq-e-tamannā tire liye
aa muztarib hai ishq kī duniyā tire liye
vahshat baras rahī hai gulistāñ meñ har taraf
hai chāk-chāk dāman-e-sahrā tire liye
terī nigāh-e-mast kī mushtāq hai bahār
sāġhar meñ hai ye larzish-e-sahbā tire liye
muddat se ārzū-e-tamāshā hai sogvār
muddat se mahv-e-dard hai duniyā tire liye
dil aur chashm-e-shauq kī manzil ke darmiyāñ
vā he masarratoñ kā darīcha tire liye
ye chāñdnī ye mauj-e-ravāñ aur ye do jaam
aa dekh ehtimām hai kyā kyā tire liye
ye sabza-e-latīf ye bhīgī huī havā
ik gulsitāñ hai sāhil-e-dariyā tire liye
'jauhar' kahāñ hayāt kī ye kashmakash kahāñ
hai merī zindagī kī tamanna tire liye
phir dil hai aaj gharq-e-tamanna tere liye
aa muztarib hai ishq ki duniya tere liye
wahshat baras rahi hai gulistan mein har taraf
hai chaak-chaak daman-e-sahra tere liye
teri nigah-e-mast ki mushtaq hai bahaar
saghar mein hai ye larzish-e-sahba tere liye
muddat se aarzu-e-tamasha hai sogwar
muddat se mahw-e-dard hai duniya tere liye
dil aur chashm-e-shauq ki manzil ke darmiyan
wa he masarraton ka daricha tere liye
ye chandni ye mauj-e-rawan aur ye do jam
aa dekh ehtimam hai kya kya tere liye
ye sabza-e-latif ye bhigi hui hawa
ek gulsitan hai sahil-e-dariya tere liye
'jauhar' kahan hayat ki ye kashmakash kahan
hai meri zindagi ki tamanna tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.