teri aawaz ke dhoke
fazāoñ meñ khanakte haiñ tirī āvāz ke dhoke
kabhī jab gaañv kī afsurda rāhoñ se guzarte haiñ
bulāte haiñ hameñ bāġhoñ meñ purvā ke ḳhunuk jhoñke
chhupā hogā to un kunjoñ meñ ye ḳhadshe ubharte haiñ
thirakte nāchte bachche chahakte manchale panchhī
simaTtī revaḌeñ maidān meñ āvāz gvāloñ kī
larazte giit kī lai meñ udāsī gholtī bansī
daraḳhtoñ kī qatāreñ ūñghtī bastī ye pagDanDī
jahāñ tak dekhtā jā.ūñ chhalāve hī chhalāve haiñ
ufuq tak saarī vaadī meñ ishāre hī ishāre haiñ
chale aao tumheñ ehsās ke manzar bulāte haiñ
mirī āñkhoñ meñ ummīdoñ ke jugnū jhilmilāte haiñ
charāġhoñ ko jalā detā hai baḌh kar Dūbtā sūraj
zamīñ par chhoḌtā jaatā hai apne naqsh-e-pā sūraj
tumhārī kaalī zulfoñ se nichuḌ kar raat aa.ī hai
pighal kar jazb ho jaatā hai dil meñ khaultā sūraj
thakā haarā huā raahī sā vāpas lauT aatā huuñ
luTe sunsān kamre meñ paḌe vīrān bistar par
fazaon mein khanakte hain teri aawaz ke dhoke
kabhi jab ganw ki afsurda rahon se guzarte hain
bulate hain hamein baghon mein purwa ke KHunuk jhonke
chhupa hoga to un kunjon mein ye KHadshe ubharte hain
thirakte nachte bachche chahakte manchale panchhi
simaTti rewaDen maidan mein aawaz gwalon ki
larazte git ki lai mein udasi gholti bansi
daraKHton ki qataren unghti basti ye pagDanDi
jahan tak dekhta jaun chhalawe hi chhalawe hain
ufuq tak sari wadi mein ishaare hi ishaare hain
chale aao tumhein ehsas ke manzar bulate hain
meri aankhon mein ummidon ke jugnu jhilmilate hain
charaghon ko jala deta hai baDh kar Dubta suraj
zamin par chhoDta jata hai apne naqsh-e-pa suraj
tumhaari kali zulfon se nichuD kar raat aai hai
pighal kar jazb ho jata hai dil mein khaulta suraj
thaka haara hua rahi sa wapas lauT aata hun
luTe sunsan kamre mein paDe viran bistar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.