teri aawaz sun kar
bahut din baa'd
tū ne aaj mujh se baat kī hai
tere lahje ne
mirā chehra kuchh itne pyaar se chūmā
ki dil ke jāda-e-be-ḳhvāb par
āvāz ke gulnār mausam kī mulā.em chaap
phūloñ kī tarah utrī
koī nanhā sā jugnū
ḳhush-gumānī kā libāda oḌh kar
āñkhoñ ke goshoñ tak chalā aaya
shagūfoñ kī tarah khilte hue
terī sadā ke naġhmagīñ mausam
kisī taaza havā kī lahr se
shahr-e-samā.at ko bhigo.e jā rahe haiñ
mire dil kī hathelī par jale saare diye
mere badan meñ
nuur kī dastak piro.e jā rahe haiñ
ye ham bhī kyā
achānak milne vaalī
is ḳhushī kī narm bāñhoñ se lipaT kar
musalsal aaj ro.e jā rahe haiñ
bahut din ba'd
tu ne aaj mujh se baat ki hai
tere lahje ne
mera chehra kuchh itne pyar se chuma
ki dil ke jada-e-be-KHwab par
aawaz ke gulnar mausam ki mulaem chap
phulon ki tarah utri
koi nanha sa jugnu
KHush-gumani ka libaada oDh kar
aankhon ke goshon tak chala aaya
shagufon ki tarah khilte hue
teri sada ke naghmagin mausam
kisi taza hawa ki lahr se
shahr-e-samaat ko bhigoe ja rahe hain
mere dil ki hatheli par jale sare diye
mere badan mein
nur ki dastak piroe ja rahe hain
ye hum bhi kya
achanak milne wali
is KHushi ki narm banhon se lipaT kar
musalsal aaj roe ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.