titliyan
vo saare lamhe yahīñ kahīñ the
mirī mohabbat kī qurbatoñ meñ bahut hasīñ the
magar vo lamhe to titliyāñ the
bahut hī rangīn kahkashā.eñ talāshte the
jab in paroñ par javān rañgoñ ke aks nikhre
to uḌ chale haiñ
bahut hī anjān rāstoñ par
nikal ga.e haiñ
maiñ ḳhālī hāthoñ ko dekhtī huuñ
bahut hī hairat se sochtī huuñ
ki un meñ qaus-e-quzah kabhī thī
hazār rangoñ kī ''an-kahī'' thī
vo saare lamhe to titliyāñ the
jo uḌ ga.iiñ haiñ
na.e jazīroñ kī chāhatoñ meñ
nikal ga.iiñ haiñ
mirī duā.eñ imaam zāmin ke saath tum se
bañdhī raheñgī
hamesha sāya-fagan raheñgī
vo saare lamhe jo titliyāñ the
hazār rangoñ kī chhab dikhā kar
bahār-mausam kī chāhatoñ meñ nikal ga.ī haiñ
sukūñ kī vaadī utar ga.iiñ haiñ
wo sare lamhe yahin kahin the
meri mohabbat ki qurbaton mein bahut hasin the
magar wo lamhe to titliyan the
bahut hi rangin kahkashaen talashte the
jab in paron par jawan rangon ke aks nikhre
to uD chale hain
bahut hi anjaan raston par
nikal gae hain
main KHali hathon ko dekhti hun
bahut hi hairat se sochti hun
ki un mein qaus-e-quzah kabhi thi
hazar rangon ki an-kahi thi
wo sare lamhe to titliyan the
jo uD gain hain
nae jaziron ki chahaton mein
nikal gain hain
meri duaen imam zamin ke sath tum se
bandhi rahengi
hamesha saya-fagan rahengi
wo sare lamhe jo titliyan the
hazar rangon ki chhab dikha kar
bahaar-mausam ki chahaton mein nikal gai hain
sukun ki wadi utar gain hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.