to phir ye dekha
to phir ye dekhā ki raushnī ke hisār meñ ek dev-qāmat shajar khaḌā hai
ki jis ne shānoñ pe be-shumār shāḳheñ uThā rakhī haiñ
ki be-shumār shāḳhoñ pe an-ginat koñpleñ khaḌī haiñ
jo apnī āñkhoñ kī narmiyoñ se numū kā e.ajāz dekhtī haiñ
aur apnī zinda samā.atoñ meñ
lahū kī āvāz sun rahī haiñ
to phir ye dekhā
na koī koñpal na vo shajar hai
bas ek maiñ huuñ ki be-numū huuñ
aur ik azal huuñ
bas ek maiñ huuñ ki be-niyābat huuñ
aur abad huuñ
bas ek maiñ huuñ
ki zard miTTī meñ pinḌliyoñ tak dhañsā huā huuñ
to phir ye dekha ki raushni ke hisar mein ek dew-qamat shajar khaDa hai
ki jis ne shanon pe be-shumar shaKHen uTha rakhi hain
ki be-shumar shaKHon pe an-ginat konplen khaDi hain
jo apni aankhon ki narmiyon se numu ka eajaz dekhti hain
aur apni zinda samaaton mein
lahu ki aawaz sun rahi hain
to phir ye dekha
na koi konpal na wo shajar hai
bas ek main hun ki be-numu hun
aur ek azal hun
bas ek main hun ki be-niyabat hun
aur abad hun
bas ek main hun
ki zard miTTi mein pinDliyon tak dhansa hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.