tohfa-e-darwesh
bahr-e-ġham meñ hai saḳht tuġhyānī
sar se uupar guzar gayā paanī
kab tak ai nuz.hat-e-barishta-jigar
shor yā rab se arsh-e-jumbānī
rone-dhone se jaan khone se
kahīñ bante haiñ kaam dīvānī
dard-e-dil dard-āfrīñ ko sunā
kar guzar jī meñ hai jo kuchh Thānī
dasht-e-vahdat hai dasht-e-vahdat hai
dekh āhista kar faras-rānī
be-ḳhabar pahle naqsh kar dil par
azmat-e-bārgāh-e-yazdānī
māya-e-rshk yaañ bazā.at-e-mor
hech vaañ shaukat-e-sulaimānī
pahle de sadqa mā-sivā allāh
pahle kar jān-o-dil kī qurbānī
chāhiye bahar-e-nazar-e-jins-e-garāñ
chāhiye ḳhuuñ ko bashud afshānī
sadaf-e-fikr se nikāl guhar
tar-ba-tar kar araq se peshānī
nuz.hat-e-be-navā hai hadiya ba-dast
ho qubūl-e-janāb-e-sultānī
hadiya kyā ek saada daftar par
likh ke laa.ī huuñ lafz-e-lā-sānī
diiñ hai ulfat vatan faġhānistāñ
urf majnūñ hai pesha hassānī
bahr-e-gham mein hai saKHt tughyani
sar se upar guzar gaya pani
kab tak ai nuzhat-e-barishta-jigar
shor ya rab se arsh-e-jumbani
rone-dhone se jaan khone se
kahin bante hain kaam diwani
dard-e-dil dard-afrin ko suna
kar guzar ji mein hai jo kuchh Thani
dasht-e-wahdat hai dasht-e-wahdat hai
dekh aahista kar faras-rani
be-KHabar pahle naqsh kar dil par
azmat-e-bargah-e-yazdani
maya-e-rshk yan bazaat-e-mor
hech wan shaukat-e-sulaimani
pahle de sadqa ma-siwa allah
pahle kar jaan-o-dil ki qurbani
chahiye bahar-e-nazar-e-jins-e-garan
chahiye KHun ko bashud afshani
sadaf-e-fikr se nikal guhar
tar-ba-tar kar araq se peshani
nuzhat-e-be-nawa hai hadiya ba-dast
ho qubul-e-janab-e-sultani
hadiya kya ek sada daftar par
likh ke lai hun lafz-e-la-sani
din hai ulfat watan faghanistan
urf majnun hai pesha hassani
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 937)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.