tohfa
mire dost ne
mujh ko tohfa diyā
ek surḳh aur sundar gulāb
mire janm din se kuchh is kā ta'alluq na thā
ye thā shukriye kī nishānī
ki maiñ ne jo kuchh us kī imdād kī thī
vo gul rakh diyā maiñ ne ik ḳhūbsūrat se bartan ke andar
ye bartan thā vaise baḌā ḳhūbsūrat
magar us gul-e-surḳh jaisā na thā
ye kaalā thā bas jaise kavvā pahāḌī
vo taḳhlīq qudrat kī
sundar suhānī
mire dhuñdle kamre meñ laa.ī
ḳhushī kī kiran
āftābī chamak kī phuvār
aur mast kartī mahak
jis ne har āte-jāte ko mas.hūr sā kar diyā
maiñ ne us ko baḌā be-intihā pyaar baḳhshā
us ko paanī diyā dekhā-bhālā
merā din hī shurūa hotā thā
us ḳhushnumā tohfe par
mohabbat-bharī sarsarī nazar Dālne se
magar in sabhī ke liye
phir mujhe kyā milā
ek din jo bilā-alvidā.a hī kahe
phuul murjhā gayā phuul mar hī gayā
mere dost ne
mujh ko tohfa diya
ek surKH aur sundar gulab
mere janm din se kuchh is ka ta'alluq na tha
ye tha shukriye ki nishani
ki main ne jo kuchh us ki imdad ki thi
wo gul rakh diya main ne ek KHubsurat se bartan ke andar
ye bartan tha waise baDa KHubsurat
magar us gul-e-surKH jaisa na tha
ye kala tha bas jaise kawwa pahaDi
wo taKHliq qudrat ki
sundar suhani
mere dhundle kamre mein lai
KHushi ki kiran
aaftabi chamak ki phuwar
aur mast karti mahak
jis ne har aate-jate ko mashur sa kar diya
main ne us ko baDa be-intiha pyar baKHsha
us ko pani diya dekha-bhaala
mera din hi shurua hota tha
us KHushnuma tohfe par
mohabbat-bhari sarsari nazar Dalne se
magar in sabhi ke liye
phir mujhe kya mila
ek din jo bila-alwidaa hi kahe
phul murjha gaya phul mar hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.