bahut qarib ho tum
bahut qarīb ho tum phir bhī mujh se kitnī duur
ki dil kahīñ hai nazar hai kahīñ kahīñ tum ho
vo jis ko pī na sakī merī shola-āshāmī
vo kūza-e-shakar o jām-e-ambagīñ tum ho
mire mizāj meñ āshuftagī sabā kī hai
milī kalī kī adā gul kī tamkanat tum ko
sabā kī god meñ phir bhī sabā se begāna
tamām husn o haqīqat tamām afsāna
vafā bhī jis pe hai nāzāñ vo bevafā tum ho
jo kho ga.ī hai mire dil kī vo sadā tum ho
bahut qarīb ho tum phir bhī mujh se kitnī duur
hijāb-e-jism abhī hai hijāb-e-rūh abhī
abhī to manzil-e-sad-mehr-o-māh baaqī hai
hijāb-e-fāsla-hā-e-nigāh baaqī hai
visāl-e-yār abhī tak hai aarzū kā fareb
bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur
ki dil kahin hai nazar hai kahin kahin tum ho
wo jis ko pi na saki meri shola-ashami
wo kuza-e-shakar o jam-e-ambagin tum ho
mere mizaj mein aashuftagi saba ki hai
mili kali ki ada gul ki tamkanat tum ko
saba ki god mein phir bhi saba se begana
tamam husn o haqiqat tamam afsana
wafa bhi jis pe hai nazan wo bewafa tum ho
jo kho gai hai mere dil ki wo sada tum ho
bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur
hijab-e-jism abhi hai hijab-e-ruh abhi
abhi to manzil-e-sad-mehr-o-mah baqi hai
hijab-e-fasla-ha-e-nigah baqi hai
visal-e-yar abhi tak hai aarzu ka fareb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.