Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur

MORE BYArsh Malsiyani

    june garmī kaḌaktī dhuup chaltī huī

    har ghaḌī mazdūr ke sar se qazā Taltī huī

    sar pe gaare kaḌhā.ī aur dīvār-e-buland

    hāñptā vo chaḌh rahā hai le ke himmat kamand

    paaḌ par pahuñchā to ik gaalī sunī me.amār se

    meñ aayā sar ko Takrā de usī dīvār se

    haa.e us mazlūm majbūriyāñ nā-chāriyāñ

    jaan āzār haiñ iflās bīmāriyāñ

    dil meñ kahtā hai ki ye me.amār bhī mazdūr hai

    phir yahī jān-e-hazīñ kyuuñ is qadar maqhūr hai

    us ujrat mujh se dugunī hai magar kam hai shu.ūr

    tamkanat kis baat par kis chiiz par itnā ġhurūr

    maiñ agar nādār huuñ ye bhī nahīñ sarmāya-dār

    bhuut vo hai kis baḌā.ī jo us par hai savār

    iiñT gaarā maiñ na duuñ us ko to ye kis kaam

    asl meñ me.amār maiñ huuñ ye faqat hai naam

    merī himmat kah rahīñ haiñ kāḳh-e-dīvān-e-buland

    aah is par bhī maiñ duniyā meñ huuñ itnā mustamand

    lag gayā phir kaam meñ ye soch kar vo bad-nasīb

    ai ḳhudā duniyā meñ itnā bhī na ho koī ġharīb

    din Dhalā jis vaqt mālik bhī makāñ aa gayā

    ik sukūt-e-marg dīvār-o-dar par chhā gayā

    kāñptā rahtā hai har mazdūr jis ke naam se

    sab usī dhun meñ the vo ḳhush ho hamāre kaam se

    us peshānī pe lekin bal zarā aane lage

    phan uThā kar tamkanat ke saañp lahrāne lage

    sab se pahle us ne gaalī usī me.amār ko

    apnī milkiyyat jo samjhā thā har ik dīvār ko

    josh-e-naḳhvat se kahā us ne ki ai paajī la.iiñ

    kal jahāñ tak thī ga.ī dīvār ab bhī hai vahīñ

    kyā kiyā hai ne din-bhar meñ zarā mujh ko batā

    yuuñ takabbur meñ vo aa kar jā.eza lene lagā

    dil meñ vo mazdūr phir kahne lagā uf re ġhazab

    jo bhī is duniyā meñ haiñ fir.aun haiñ vo sab ke sab

    jis jis par bas chale pāmāl kartā hai use

    ḳhud agar ḳhush-hāl hai bad-hāl kartā hai use

    kyā kahūñ sarmāya-dāroñ ke sitam dāstāñ

    dīda-e-mazdūr hai mazdūr se bhī ḳhūñfishāñ

    jis lāThī us bhaiñs is misl ko sādiq samajh

    ye samajh kar is ḳhudā-e-pāk ko rāziq samajh

    june ki garmi kaDakti dhup lu chalti hui

    har ghaDi mazdur ke sar se qaza Talti hui

    sar pe gare ki kaDhai aur diwar-e-buland

    hanpta wo chaDh raha hai le ke himmat ki kamand

    paD par pahuncha to ek gali suni meamar se

    ji mein aaya sar ko Takra de usi diwar se

    hae us mazlum ki majburiyan na-chaariyan

    jaan ka aazar hain iflas ki bimariyan

    dil mein kahta hai ki ye meamar bhi mazdur hai

    phir yahi jaan-e-hazin kyun is qadar maqhur hai

    us ki ujrat mujh se duguni hai magar kam hai shuur

    tamkanat kis baat par kis chiz par itna ghurur

    main agar nadar hun ye bhi nahin sarmaya-dar

    bhut wo hai kis baDai ka jo us par hai sawar

    inT gara main na dun us ko to ye kis kaam ka

    asl mein meamar main hun ye faqat hai nam ka

    meri himmat kah rahin hain kaKH-e-diwan-e-buland

    aah is par bhi main duniya mein hun itna mustamand

    lag gaya phir kaam mein ye soch kar wo bad-nasib

    ai KHuda duniya mein itna bhi na ho koi gharib

    din Dhala jis waqt malik bhi makan ka aa gaya

    ek sukut-e-marg sa diwar-o-dar par chha gaya

    kanpta rahta hai har mazdur jis ke nam se

    sab usi dhun mein the wo KHush ho hamare kaam se

    us ki peshani pe lekin bal zara aane lage

    phan uTha kar tamkanat ke sanp lahrane lage

    sab se pahle us ne gali di usi meamar ko

    apni milkiyyat jo samjha tha har ek diwar ko

    josh-e-naKHwat se kaha us ne ki ai paji lain

    kal jahan tak thi gai diwar ab bhi hai wahin

    kya kiya hai tu ne din-bhar mein zara mujh ko bata

    yun takabbur mein wo aa kar jaeza lene laga

    dil mein wo mazdur phir kahne laga uf re ghazab

    jo bhi is duniya mein hain firaun hain wo sab ke sab

    jis ka jis par bas chale pamal karta hai use

    KHud agar KHush-haal hai bad-haal karta hai use

    kya kahun sarmaya-daron ke sitam ki dastan

    dida-e-mazdur hai mazdur se bhi KHunfishan

    jis ki laThi us ki bhains is misl ko sadiq samajh

    ye samajh kar is KHuda-e-pak ko raaziq samajh

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 418)
    • Author : Arsh Malsiyani
    • Publication : Ali Imran Chaudhary

    related content

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now