buzdil
dayār-e-barg-e-rā.anā se
guzartā huuñ
to mujh ko ḳhauf aatā hai
dam-e-lams-e-pareshāñ se
sadā-e-dīda-e-tar se
maiñ us ke rañg ko
ḳhushbū ko us kī naġhmagī ko
hādisa majrūh-o-dāmānda na kar Daalo
ḳhumār-e-ārzū kī intihā par
maiñ qalam kartā huuñ apnī uñgliyoñ ko
putliyoñ kī bastiyoñ meñ
jagmagāte sab sitāroñ ko bujhātā huuñ
maiñ tāzīm-e-adā-e-nūr ke hañgām meñ
mānūs chehroñ
aur āvāzoñ ke sāhil par
sar-e-mauj-e-farāvāñ
raushnī kā jarā anjām piitā huuñ
maiñ apne har safar kī kī āḳhirī qurbat kī manzil huuñ
maiñ buzdil huuñ
dayar-e-barg-e-raana se
guzarta hun
to mujh ko KHauf aata hai
dam-e-lams-e-pareshan se
sada-e-dida-e-tar se
main us ke rang ko
KHushbu ko us ki naghmagi ko
hadisa majruh-o-damanda na kar Dalo
KHumar-e-arzu ki intiha par
main qalam karta hun apni ungliyon ko
putliyon ki bastiyon mein
jagmagate sab sitaron ko bujhata hun
main tazim-e-ada-e-nur ke hangam mein
manus chehron
aur aawazon ke sahil par
sar-e-mauj-e-farawan
raushni ka jara anjam pita hun
main apne har safar ki ki aaKHiri qurbat ki manzil hun
main buzdil hun
- Book : Lambi Barish (Pg. 141)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.