Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

glass landscape

Kishwar Naheed

glass landscape

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    abhī sardī poroñ pahchān ke mausam meñ hai

    is se pahle ki barf mere darvāze ke aage dīvār ban jaa.e

    tum qahve pyālī se uThtī mahaktī bhaap tarah

    merī pahchān kar lo

    maiñ abhī tak sabz huuñ

    muñh-band ilā.ichī tarah

    maiñ ne aaj tumhārī yaad ke kabūtar ko

    apne zehn ke kābuk se āzād kiyā

    to mujhe andar patāvar dikhā.ī

    chāñd puurā hone se pahle tum ne mujhe chhuā

    aur baat puurī hone se pahle

    tum ne baat ḳhatm kar

    jānkārī ke bhī kitne dukh hote haiñ

    bin kahe talḳh baat samajh meñ aa jaatī hai

    achchhī baat ko dohrāne sa.ī

    aur burī baat ko bhulāne jidd-o-johd meñ

    zindagī biit jaatī hai

    barf dīvār meñ

    ab ke maiñ bhī chunvā jā.ūñgī

    ki mujhe aag se kheltā dekh kar

    dānish-mandoñ ne yahī faisla kiyā hai

    maiñ tumhāre paas leTī huī bhī

    phuljaḌī tarah sulagtī rahtī huuñ

    maiñ tum se duur huuñ

    tab bhī tum merī lapToñ se sulagte aur jhulaste rahte ho

    samundar sirf chāñd kahā māntā hai

    sar-e-shām jab sūraj aur merī āñkheñ surḳh hoñ

    to maiñ chāñd ke bulāve pe samundar ḳharosh dekhne chalī jaatī huuñ

    aur mere pairoñ ke nīche se ret nikal kar

    mujhe be-zamīn kar detī hai

    pair be-zamīn

    aur sar be-āsmān

    phāñsī par laTke shaḳhs tarah ho ke bhī

    yahī samajhtī ho

    ki muñh-band ilā.ichī tarah abhī tak sabz ho

    abhi sardi poron ki pahchan ke mausam mein hai

    is se pahle ki barf mere darwaze ke aage diwar ban jae

    tum qahwe ki pyali se uThti mahakti bhap ki tarah

    meri pahchan kar lo

    main abhi tak sabz hun

    munh-band ilaichi ki tarah

    main ne aaj tumhaari yaad ke kabutar ko

    apne zehn ke kabuk se aazad kiya

    to mujhe andar ki patawar dikhai di

    chand pura hone se pahle tum ne mujhe chhua

    aur baat puri hone se pahle

    tum ne baat KHatm kar di

    jaankari ke bhi kitne dukh hote hain

    bin kahe hi talKH baat samajh mein aa jati hai

    achchhi baat ko dohrane ki sai

    aur buri baat ko bhulane ki jidd-o-johd mein

    zindagi bit jati hai

    barf ki diwar mein

    ab ke main bhi chunwa di jaungi

    ki mujhe aag se khelta dekh kar

    danish-mandon ne yahi faisla kiya hai

    main tumhaare pas leTi hui bhi

    phuljaDi ki tarah sulagti rahti hun

    main tum se dur hun

    tab bhi tum meri lapTon se sulagte aur jhulaste rahte ho

    samundar sirf chand ka kaha manta hai

    sar-e-sham jab suraj aur meri aankhen surKH hon

    to main chand ke bulawe pe samundar ka KHarosh dekhne chali jati hun

    aur mere pairon ke niche se ret nikal kar

    mujhe be-zamin kar deti hai

    pair be-zamin

    aur sar be-asman

    phansi par laTke shaKHs ki tarah ho ke bhi

    yahi samajhti ho

    ki munh-band ilaichi ki tarah abhi tak sabz ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed

    RECITATIONS

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed,

    Kishwar Naheed

    glass landscape Kishwar Naheed

    Source :
    • Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 709)
    • Author : Kishwar Nahiid
    • Publication : Sang-e-mail publication lahore (2001)
    • Edition : 2001

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now