murda-KHana
mirī ragoñ meñ ḳhunuk sūiyāñ pirotā huā
barhana lāshoñ ke ambār par se hotā huā
havā kā haath bahut sard, maut jaisā sard
vo jā rahā hai, vo darvāze sar paTakne lage
vo balb TuuT gayā, saa.e saath chhoḌ ga.e
vo nāchte hue bheje kisī raqīq se tar
vo reñgte hue bāzū, vo chīḳhte hue sar
vo hoñT nīm-tarāshīda, daañt nikle hue
vo nisf dhaḌ chale aate haiñ raqs karte hue
vo jism sahme hue band martabānoñ meñ
jo baat kī to unheñ tez-o-tursh zahr milā
jo chup hue to unheñ sūliyoñ pe Taañg diyā
chhupī haiñ saikḌoñ bad-rūheñ in fazāoñ meñ
vo ghūrtī huī āñkheñ kahīñ ḳhalāoñ meñ
zamīñ ke mālik-e-derīna kī talāsh meñ haiñ
jarāhatoñ ke nishāñ har ḳhamīda laash meñ haiñ
aur ik sadā chalī aatī hai, har jarāhat se
ye saare zaḳhm muqaddar hue haiñ maut ke baad
sukūn-e-lafz-o-bayān o sukūt-e-saut ke baad
baḌī bisāñd hai ThiThurī huī havāoñ meñ
maiñ ghir gayā huuñ lahū chāTtī balāoñ meñ
vo ik burīda zabāñ aa.ī laḌkhaḌātī huī
hañsī... Darāonī sargoshiyoñ meñ kahne lagī
tum apnī laash liye bhaag jaao jaldī se
na san sakoge ki haiñ maut ke fasāne bahut
matā-e-jism salāmat ki murda-ḳhāne bahut
meri ragon mein KHunuk suiyan pirota hua
barhana lashon ke ambar par se hota hua
hawa ka hath bahut sard, maut jaisa sard
wo ja raha hai, wo darwaze sar paTakne lage
wo balb TuT gaya, sae sath chhoD gae
wo nachte hue bheje kisi raqiq se tar
wo rengte hue bazu, wo chiKHte hue sar
wo honT nim-tarashida, dant nikle hue
wo nisf dhaD chale aate hain raqs karte hue
wo jism sahme hue band martabanon mein
jo baat ki to unhen tez-o-tursh zahr mila
jo chup hue to unhen suliyon pe Tang diya
chhupi hain saikDon bad-ruhen in fazaon mein
wo ghurti hui aankhen kahin KHalaon mein
zamin ke malik-e-derina ki talash mein hain
jarahaton ke nishan har KHamida lash mein hain
aur ek sada chali aati hai, har jarahat se
ye sare zaKHm muqaddar hue hain maut ke baad
sukun-e-lafz-o-bayan o sukut-e-saut ke baad
baDi bisand hai ThiThuri hui hawaon mein
main ghir gaya hun lahu chaTti balaon mein
wo ek burida zaban aai laDkhaDati hui
hansi Daraoni sargoshiyon mein kahne lagi
tum apni lash liye bhag jao jaldi se
na san sakoge ki hain maut ke fasane bahut
mata-e-jism salamat ki murda-KHane bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.