ekta
Interesting Fact
)Published: Yojna, New Delhi, 26th February, 1983)
jo ektā kī lagan ho dil meñ to be-qarārī na paas aa.e
kisī kā jaadū kisī kā Tonā hamāre uupar nahīñ chalegā
agar ham apne ko ḳhud samajh leñ agar ham apne ko aap parkheñ
na koī aafat kahīñ uThegī na dil dukhegā na ghar jalegā
har ek bachcha hai ek bachcha na hai kisī kā kabhī adū vo
ye bhed bhaav ye fāsla sab ḳhud apnā paidā kiyā huā hai
kisī kā maz.hab nahīñ ye kahtā ki tum na jiine do dūsroñ ko
ḳhudā to sab kā hai ek lekin maqām-e-sajda judā judā hai
sunā hai kal tak the vo paḌosī baḌā thā aapas meñ bhā.ī-chāra
vahī paḌosī to ab bhī haiñ vo magar hai aapas meñ jañg kaisī
miTā do gar dil se bhed-bhāv to fāsla phir koī na hogā
tumheñ ye ehsās ḳhud hī hogā ki hai diloñ meñ tarañg kaisī
jo ekta ki lagan ho dil mein to be-qarari na pas aae
kisi ka jadu kisi ka Tona hamare upar nahin chalega
agar hum apne ko KHud samajh len agar hum apne ko aap parkhen
na koi aafat kahin uThegi na dil dukhega na ghar jalega
har ek bachcha hai ek bachcha na hai kisi ka kabhi adu wo
ye bhed bhaw ye fasla sab KHud apna paida kiya hua hai
kisi ka mazhab nahin ye kahta ki tum na jine do dusron ko
KHuda to sab ka hai ek lekin maqam-e-sajda juda juda hai
suna hai kal tak the wo paDosi baDa tha aapas mein bhai-chaara
wahi paDosi to ab bhi hain wo magar hai aapas mein jang kaisi
miTa do gar dil se bhed-bhaw to fasla phir koi na hoga
tumhein ye ehsas KHud hi hoga ki hai dilon mein tarang kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.