tota
tote vaalā tote laayā
tote lo tote chillāyā
sabz paroñ kī vardī sab kī
TeḌhī choñch nirāle Dhab kī
tote vaale ko bulvā kar
ik tote ke daam chukā kar
qīmat dī aur ham ne ḳharīdā
lohe ke pinjre meñ rakkhā
pinjre meñ ik roTī Daalī
ḳhush ho kar tote ne uThā lī
aap to bas thoḌā hī khāyā
kutar kutar kar Dher lagāyā
ham ne use kuchh bol sikhā.e
lafz bahut se yaad karā.e
din bhar Teñ Teñ kartā rahtā
phal le le ke kutartā rahtā
lafz bahut se jaan gayā thā
jumle bhī pahchān gayā thā
raT.tā rahtā jumle yahī do
miTThū beTe nabī jī bhejo
sub.h añdhere shor machātā
shor machā kar sab ko jagātā
qaid kā yuuñ dukh sahte sahte
muddat guzrī rahte rahte
ik din khiḌkī khulī jo paa.ī
phir kyā thā us kī ban aa.ī
dekho tote kī ustādī
uḌ kar hāsil kī āzādī
ab ye bāġhoñ meñ jā.egā
yāroñ meñ jī bahalā.egā
tote wala tote laya
tote lo tote chillaya
sabz paron ki wardi sab ki
TeDhi chonch nirale Dhab ki
tote wale ko bulwa kar
ek tote ke dam chuka kar
qimat di aur hum ne KHarida
lohe ke pinjre mein rakkha
pinjre mein ek roTi Dali
KHush ho kar tote ne uTha li
aap to bas thoDa hi khaya
kutar kutar kar Dher lagaya
hum ne use kuchh bol sikhae
lafz bahut se yaad karae
din bhar Ten Ten karta rahta
phal le le ke kutarta rahta
lafz bahut se jaan gaya tha
jumle bhi pahchan gaya tha
raTta rahta jumle yahi do
miTThu beTe nabi ji bhejo
subh andhere shor machata
shor macha kar sab ko jagata
qaid ka yun dukh sahte sahte
muddat guzri rahte rahte
ek din khiDki khuli jo pai
phir kya tha us ki ban aai
dekho tote ki ustadi
uD kar hasil ki aazadi
ab ye baghon mein jaega
yaron mein ji bahalaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.