Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh bin

Tanveer Naqvi

tujh bin

Tanveer Naqvi

MORE BYTanveer Naqvi

    tujh bin merā jīvan phīkā

    kaliyāñ hañs hañs kar sharmā.eñ

    tum bin naināñ bhar bhar aa.eñ

    sundar taare chamak chamak kar

    āñkhoñ āñkhoñ meñ samjhā.eñ

    tum bin merā jīvan phīkā

    Duub chalī haiñ sab āshā.eñ

    band huiiñ ummīd rāheñ

    kaun hai jag meñ sunñe vaalā

    kis ko man giit sunā.eñ

    tum bin merā jīvan phīkā

    man nayyā Dag-mag Dole

    jīvan letā hai hachkole

    is mūrakh sansār meñ pītam

    dil ḳhabreñ kaun hai jo le

    tum bin merā jīvan phīkā

    kaale kaale bādal aa.eñ

    jhuk kar phaileñ ghir kar chhā.eñ

    rim-jhim rim-jhim meñhā barse

    bādar kitnā shor machā.eñ

    tum bin merā jīvan phīkā

    tum bin merā jīvan phīkā

    tujh bin mera jiwan phika

    kaliyan hans hans kar sharmaen

    tum bin nainan bhar bhar aaen

    sundar tare chamak chamak kar

    aankhon aankhon mein samjhaen

    tum bin mera jiwan phika

    Dub chali hain sab aashaen

    band huin ummid ki rahen

    kaun hai jag mein sunne wala

    kis ko man ka git sunaen

    tum bin mera jiwan phika

    man ki nayya Dag-mag Dole

    jiwan leta hai hachkole

    is murakh sansar mein pitam

    dil ki KHabren kaun hai jo le

    tum bin mera jiwan phika

    kale kale baadal aaen

    jhuk kar phailen ghir kar chhaen

    rim-jhim rim-jhim meinha barse

    baadar kitna shor machaen

    tum bin mera jiwan phika

    tum bin mera jiwan phika

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now