tujhse jab aankh laDi
tujh se jab aañkh laḌī go ye manzil thī kaḌī
maiñ ne us manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
ḳhār-zār-e-rah-e-ulfat ko gulistāñ samjhā
vādī-e-ġham ke ḳham-o-pech kā ehsās na thā
kisī mushkil kisī uljhan kā mujhe paas na thā
tujh se jab aañkh laḌī goyā manzil thī kaḌī
maiñ ne us manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
thā jo tū pesh-e-nazar rāt-din shām-o-sahar
kis qadar thī mire jazbāt kī duniyā rangīñ
thā nigāhoñ meñ zamāne kā zamānā rangīñ
na ġham-e-hijr thā nai mātam-e-tanhā.ī thā
husn-e-sāda thā tamāshā meñ tamāshā.ī thā
tujh se jab aañkh laḌī goyā manzil thī kaḌī
maiñ ne us manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
vo mirā josh-e-junūñ sehr thā yā ki fusūñ
kar diyā jis ne mire hausle ko itnā buland
chāñd sūraj pe bhī Dālne jaatā thā kamand
kuchh baḌī baat na thī mere liye koh-kanī
dasht-o-sahrā meñ vo be-bāk mirī gāmzanī
tujh se jab aañkh laḌī go ye manzil thī kaḌī
maiñ ne us manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
thā mire dil kā jahāñ mast-o-masrūr-o-javāñ
yās-o-hasrat kise kahte haiñ ye mā'lūm na thā
mere nazdīk alam kā koī mafhūm na thā
jis tarah zulmat-e-shab jalva-e-bedār meñ gum
talḳhiyāñ ziist kī thiiñ sāġhar-e-sarshār meñ gum
tujh se jab aañkh laḌī go ye manzil thī kaḌī
maiñ ne us manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
husn-e-rangīñ ne tire lutf-e-shīrīñ ne tire
kar dikhāyā har ik āġhāz kā anjām-e-hasīñ
din hasīñ raat hasīñ sub.h hasīñ shaam hasīñ
rach ga.ī thī mirī rag-rag meñ mohabbat terī
haa.e kyā chiiz thī ulfat tirī chāhat terī
tujh se jab aankh laDi go ye manzil thi kaDi
main ne us manzil-e-dushwar ko aasan samjha
KHar-zar-e-rah-e-ulfat ko gulistan samjha
wadi-e-gham ke KHam-o-pech ka ehsas na tha
kisi mushkil kisi uljhan ka mujhe pas na tha
tujh se jab aankh laDi goya manzil thi kaDi
main ne us manzil-e-dushwar ko aasan samjha
tha jo tu pesh-e-nazar raat-din sham-o-sahar
kis qadar thi mere jazbaat ki duniya rangin
tha nigahon mein zamane ka zamana rangin
na gham-e-hijr tha nai matam-e-tanhai tha
husn-e-sada tha tamasha mein tamashai tha
tujh se jab aankh laDi goya manzil thi kaDi
main ne us manzil-e-dushwar ko aasan samjha
wo mera josh-e-junun sehr tha ya ki fusun
kar diya jis ne mere hausle ko itna buland
chand suraj pe bhi Dalne jata tha kamand
kuchh baDi baat na thi mere liye koh-kani
dasht-o-sahra mein wo be-bak meri gamzani
tujh se jab aankh laDi go ye manzil thi kaDi
main ne us manzil-e-dushwar ko aasan samjha
tha mere dil ka jahan mast-o-masrur-o-jawan
yas-o-hasrat kise kahte hain ye ma'lum na tha
mere nazdik alam ka koi mafhum na tha
jis tarah zulmat-e-shab jalwa-e-bedar mein gum
talKHiyan zist ki thin saghar-e-sarshaar mein gum
tujh se jab aankh laDi go ye manzil thi kaDi
main ne us manzil-e-dushwar ko aasan samjha
husn-e-rangin ne tere lutf-e-shirin ne tere
kar dikhaya har ek aaghaz ka anjam-e-hasin
din hasin raat hasin subh hasin sham hasin
rach gai thi meri rag-rag mein mohabbat teri
hae kya chiz thi ulfat teri chahat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.