tum hi tum ho
tahrīroñ meñ taqrīroñ meñ
tum hī tum ho
lafzoñ meñ harfoñ meñ
tum hī tum ho
tum ne bhī ik ḳhvāb dekhā thā
maiñ ne bhī ik ḳhvāb bunā thā
pīpal kī chhāñv meñ
niile ambar ke saaye meñ
tum hī tum ho
lekin
ik aisī āñdhī aa.ī
ik aisā tūfān uThā
ā.īna reza reza ho gayā
shīshoñ ke bhī TukḌe ho ga.e
magar
har ā.īne ke reze reze meñ
tum hī tum ho
tum ne bhī ik ḳhvāb dekhā thā
maiñ ne bhī ik ḳhvāb bunā thā
ik gulshan aisā nyārā ho
phuul kaliyāñ
har dam taaza hoñ
lekin
ik aisī āñdhī aa.ī
ik aisā tūfān uThā
phuul kaliyāñ sab
bikhar ga.iiñ
ḳhushbū se
vaadī jangal
gaañv shahr
mahak uThe
aur
har har mahak se
ye ehsās ho rahā thā
ki bas
tum hī tum ho
tum hī tum ho
tahriron mein taqriron mein
tum hi tum ho
lafzon mein harfon mein
tum hi tum ho
tum ne bhi ek KHwab dekha tha
main ne bhi ek KHwab buna tha
pipal ki chhanw mein
nile ambar ke saye mein
tum hi tum ho
lekin
ek aisi aandhi aai
ek aisa tufan uTha
aaina reza reza ho gaya
shishon ke bhi TukDe ho gae
magar
har aaine ke reze reze mein
tum hi tum ho
tum ne bhi ek KHwab dekha tha
main ne bhi ek KHwab buna tha
ek gulshan aisa nyara ho
phul kaliyan
har dam taza hon
lekin
ek aisi aandhi aai
ek aisa tufan uTha
phul kaliyan sab
bikhar gain
KHushbu se
wadi jangal
ganw shahr
mahak uThe
aur
har har mahak se
ye ehsas ho raha tha
ki bas
tum hi tum ho
tum hi tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.