tum jo aate ho
din nikalte haiñ bikhar jaate haiñ
shahr baste haiñ ujaḌ jaate haiñ
dastakeñ āhanī darvāze par
sar ko Takrā ke palaT jaatī haiñ
gumbad-e-ḳhāmushī girtā hī nahīñ
chaltī rahtī hai havā
khetoñ meñ dālānoñ meñ
aur apne hī talātum meñ utar jaatī hai
har taraf phuul bikhar jaate haiñ
dil kī miTTī pe koī rañg utartā hī nahīñ
aañkh nazzāra-e-mauhūm se haTtī hī nahīñ
zehn us hajla-e-tārīkī-o-tanhā.ī meñ
apne kāñToñ pe paḌā rahtā hai
vaqt aatā hai guzar jaatā hai
tum jo aate ho to tartīb ulaT jaatī hai
dhuñd jaise kahīñ chhaT jaatī hai
naram poroñ se koī haule se
dil kī dīvār girā detā hai
ek khiḌkī kahīñ khul jaatī hai
aañkh ik jalva-e-sad-rang se bhar jaatī hai
koī āvāz bulātī hai hameñ
tum jo aate ho
to is habs dukhan ke ghar se
ranj-e-ā.inda-o-rafta kī thakāvaT se
nikal lete haiñ
tum se milte haiñ
to duniyā se bhī mil lete haiñ
din nikalte hain bikhar jate hain
shahr baste hain ujaD jate hain
dastaken aahani darwaze par
sar ko Takra ke palaT jati hain
gumbad-e-KHamushi girta hi nahin
chalti rahti hai hawa
kheton mein dalanon mein
aur apne hi talatum mein utar jati hai
har taraf phul bikhar jate hain
dil ki miTTi pe koi rang utarta hi nahin
aankh nazzara-e-mauhum se haTti hi nahin
zehn us hajla-e-tariki-o-tanhai mein
apne kanTon pe paDa rahta hai
waqt aata hai guzar jata hai
tum jo aate ho to tartib ulaT jati hai
dhund jaise kahin chhaT jati hai
naram poron se koi haule se
dil ki diwar gira deta hai
ek khiDki kahin khul jati hai
aankh ek jalwa-e-sad-rang se bhar jati hai
koi aawaz bulati hai hamein
tum jo aate ho
to is habs dukhan ke ghar se
ranj-e-ainda-o-rafta ki thakawaT se
nikal lete hain
tum se milte hain
to duniya se bhi mil lete hain
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 37)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.