tum KHuda nahin ho
nahīñ
ab mujhe sadā na do
ki shaam Dhalne lagī hai
abhī kuchh der meñ sabhī rāste gum ho jā.eñge
mujh meñ vahī shaḳhs bolegā
shaam se maiñ bujhā-bujhā sā rahtā huuñ
tumheñ kyā kahūñ
tum kisī hasīn ḳhvāb ke paroñ par savār
be-nām samtoñ meñ
ḳhud ko paane ke liye chale jāoge
maiñ akelā hī sahī
aur suno
kisī be-nām samt meñ
koī mile to itnā hī kaho
ki maiñ sadiyoñ se āb-e-hayāt ke ek jur.e kī burrish
hulqūm meñ utāre tumhārā muntazir huuñ
aur ye bhī suno
kahīñ rāste meñ
raat mil jaa.e to us se kaho
ki maiñ añdherā nahīñ huuñ
maiñ baras-hā-baras se
chāñdnī ko paane ke liye
dhuup kī baag ko thāme hue
kāñch ke TukḌoñ kā sufūf chabāne lagā huuñ
jab mere saare havās
fazāoñ meñ tahlīl ho jaa.eñ
to tum mere jism meñ
bas ek hī baar suur phūñko
aur phir
tum mujh se kaho ki ab bhī tum ḳhudā nahīñ ho
nahin
ab mujhe sada na do
ki sham Dhalne lagi hai
abhi kuchh der mein sabhi raste gum ho jaenge
mujh mein wahi shaKHs bolega
sham se main bujha-bujha sa rahta hun
tumhein kya kahun
tum kisi hasin KHwab ke paron par sawar
be-nam samton mein
KHud ko pane ke liye chale jaoge
main akela hi sahi
aur suno
kisi be-nam samt mein
koi mile to itna hi kaho
ki main sadiyon se aab-e-hayat ke ek jure ki burrish
hulqum mein utare tumhaara muntazir hun
aur ye bhi suno
kahin raste mein
raat mil jae to us se kaho
ki main andhera nahin hun
main baras-ha-baras se
chandni ko pane ke liye
dhup ki bag ko thame hue
kanch ke TukDon ka sufuf chabane laga hun
jab mere sare hawas
fazaon mein tahlil ho jaen
to tum mere jism mein
bas ek hi bar sur phunko
aur phir
tum mujh se kaho ki ab bhi tum KHuda nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.