tum mera sahaara ho
dūsrā kinārā ho
sābiqa rifāqat kī gum-shuda masāfat kī
dhuup dhuup rāhoñ kā sāya-dār pīpal ho
karb nā-rasā.ī ke
ik siyah samundar meñ tairtā jazīra ho
jis meñ surḳh hoñToñ kī bārisheñ barastī haiñ
ye luTe sipāhī kī āḳhirī panah-gāheñ
āḳhirī machāneñ haiñ
pahlī nā-rasā.ī ke dukh bhare natīje meñ
jism kī rifāqat se ḳhvāhisheñ bachāne ke
zindagī nibhāne ke
bas yūñhī bahāne haiñ
dil nagar pahuñchne ko
aañkh ke alāva bhī be-shumār raste haiñ
dūsrī mohabbat meñ rāste badalte haiñ
tum ko kyā ḳhabar jānāñ
tum se kyā kaheñ jānāñ
tum to barf-mausam meñ aag kā alaav ho
dard kī thakānoñ meñ ruuh kā paḌāv ho
dūsrī mohabbat ho
dusra kinara ho
sabiqa rifaqat ki gum-shuda masafat ki
dhup dhup rahon ka saya-dar pipal ho
karb na-rasai ke
ek siyah samundar mein tairta jazira ho
jis mein surKH honTon ki barishen barasti hain
ye luTe sipahi ki aaKHiri panah-gahen
aaKHiri machanen hain
pahli na-rasai ke dukh bhare natije mein
jism ki rifaqat se KHwahishen bachane ke
zindagi nibhane ke
bas yunhi bahane hain
dil nagar pahunchne ko
aankh ke alawa bhi be-shumar raste hain
dusri mohabbat mein raste badalte hain
tum ko kya KHabar jaanan
tum se kya kahen jaanan
tum to barf-mausam mein aag ka alaw ho
dard ki thakanon mein ruh ka paDaw ho
dusri mohabbat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.