tum mujhe nahin paoge
tum sab log mujhe qatra qatra dariyā meñ bahā do
mere vajūd ko taar taar karke dekho
phir bhī tumheñ merī ruuh tak pahuñchne ke liye apnī kamīñ-gāhoñ ke
raste se guzarnā hogā
tum mujhe nahīñ pāoge
is liye ki maiñ tum meñ se nahīñ huuñ
mujhe tumhāre ghar sirf ek observer kī haisiyat se rakhā gayā hai
taaki tumhārī munāfqatoñ kī report
tum se baḌī ministry ko bhej sakūñ
un ko jo isī baat kā khāte haiñ ki logoñ ko itnā tang karo
ki vo tumhāre level par aa kar jiinā shurūa kar deñ
tum sab log mujhe qatra qatra dariya mein baha do
mere wajud ko tar tar karke dekho
phir bhi tumhein meri ruh tak pahunchne ke liye apni kamin-gahon ke
raste se guzarna hoga
tum mujhe nahin paoge
is liye ki main tum mein se nahin hun
mujhe tumhaare ghar sirf ek obserwer ki haisiyat se rakha gaya hai
taki tumhaari munafqaton ki report
tum se baDi ministry ko bhej sakun
un ko jo isi baat ka khate hain ki logon ko itna tang karo
ki wo tumhaare lewel par aa kar jina shurua kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.