tum
mujhe pata hai
merā dukhī honā
tum ko bhī dukh detā hai
merī bebasī ko
tum mahsūs karte ho
merī bharrā.ī āvāz
tum ko bhī rulātī hai
maiñ jāntā huuñ
ye sab tum kahte nahīñ
bas merā phone kaaT dete ho
ye kah kar ki
ghar se phone aa rahā hai
baa'd meñ baat karte haiñ
phir mujhe message karte ho
ki network nahīñ kaam kar rahā
kal baat karte haiñ
par mujhe pata hai
mere aañsū tumheñ taklīf dete haiñ
aur tum bātoñ ka
ruḳh moḌ dete ho
mujhe vahīñ par chhoḌ dete ho
mujhe pata hai
mera dukhi hona
tum ko bhi dukh deta hai
meri bebasi ko
tum mahsus karte ho
meri bharrai aawaz
tum ko bhi rulati hai
main jaanta hun
ye sab tum kahte nahin
bas mera phone kaT dete ho
ye kah kar ki
ghar se phone aa raha hai
ba'd mein baat karte hain
phir mujhe message karte ho
ki network nahin kaam kar raha
kal baat karte hain
par mujhe pata hai
mere aansu tumhein taklif dete hain
aur tum baaton ka
ruKH moD dete ho
mujhe wahin par chhoD dete ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.