tumne jab kutta pala hai
phir kyoñ is ko bāñdh rakhā hai
gardan ko āzād bhī kar do zanjīroñ se
taaki ye bhī
logoñ ko kaaTe
chaltī-phirtī laash samajh kar
tan ko noche
bastī meñ haiñ aur bhī kutte
āzādāna taur pe jo ki ghuum rahe haiñ
logoñ ko kuchh kaaT rahe haiñ
bhauñk rahe tan noch rahe haiñ
tum ne apne kutte se to
āzādī ko chhīn liyā hai
khol bhī do
zanjīr gale se
āḳhir tum kyā soch rahe ho
tum ne apne hāthoñ ko kyoñ rok liyā hai
tum ne jab kuttā paalā hai
phir kyoñ is ko bāñdh rakhā hai
phir kyon is ko bandh rakha hai
gardan ko aazad bhi kar do zanjiron se
taki ye bhi
logon ko kaTe
chalti-phirti lash samajh kar
tan ko noche
basti mein hain aur bhi kutte
aazadana taur pe jo ki ghum rahe hain
logon ko kuchh kaT rahe hain
bhaunk rahe tan noch rahe hain
tum ne apne kutte se to
aazadi ko chhin liya hai
khol bhi do
zanjir gale se
aaKHir tum kya soch rahe ho
tum ne apne hathon ko kyon rok liya hai
tum ne jab kutta pala hai
phir kyon is ko bandh rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.