tumne KHud-kushi kyon ki
maiñ ḳhud-kushī na kartā to mar jaatā
maiñ ne bachchoñ kī āñkhoñ meñ
ḳhvāhisheñ bilaktī dekhīñ to
āñgan meñ
seboñ ke bonsai daraḳht lagā diye
jab bachche baḌe hue
aur unhoñ ne seb toḌnā chāhe
seboñ ke daraḳht khajūroñ ke daraḳht ban ga.e
bachchoñ ke haath
duāoñ kī tarah uThe rahe ga.e
maiñ ne khajūr ke tane ko bāñhoñ meñ le liyā
aur zaḳhmī pairoñ se dauḌtā
uupar chaḌh gayā
to vahāñ seb nahīñ the
maiñ ne bachchoñ kī phailī huī jholiyāñ dekhīñ
aur un meñ chhalāñg lagā dī
main KHud-kushi na karta to mar jata
main ne bachchon ki aankhon mein
KHwahishen bilakti dekhin to
aangan mein
sebon ke bonsai daraKHt laga diye
jab bachche baDe hue
aur unhon ne seb toDna chahe
sebon ke daraKHt khajuron ke daraKHt ban gae
bachchon ke hath
duaon ki tarah uThe rahe gae
main ne khajur ke tane ko banhon mein le liya
aur zaKHmi pairon se dauDta
upar chaDh gaya
to wahan seb nahin the
main ne bachchon ki phaili hui jholiyan dekhin
aur un mein chhalang laga di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.