vo ghaḌī jo tum ne mujhe dī thī
aaj mere paas nahīñ hai
lekin vo vaqt
jo diyā thā tum ne mujhe
sab se bachā kar
ḳhud se chhupā aur
vo aaj bhī hai mere paas
merī sāñsoñ meñ ghulā
merī yādoñ meñ basā
mere jazboñ kā sarmāya ban
yaad rakhnā
jab tumhāre paas ḳhud ke liye
vaqt na rah jaa.e
ḳhudā-na-ḳhvāsta
tum mujh se maañg lenā
tumheñ dostī kā vāsta
wo ghaDi jo tum ne mujhe di thi
aaj mere pas nahin hai
lekin wo waqt
jo diya tha tum ne mujhe
sab se bacha kar
KHud se chhupa aur
wo aaj bhi hai mere pas
meri sanson mein ghula
meri yaadon mein basa
mere jazbon ka sarmaya ban
yaad rakhna
jab tumhaare pas KHud ke liye
waqt na rah jae
KHuda-na-KHwasta
tum mujh se mang lena
tumhein dosti ka wasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.