tumhaare baad kya hua
tumhāre baa'd kyā huā
tumheñ to kuchh ḳhabar nahīñ
ġhamoñ ne zindagī ke saare zāviye badal diye
mirī tamām ḳhvāhishoñ ke hausle kuchal diye
mirī to saarī 'umr hī isī meñ kaT ke rah ga.ī
udāsiyoñ kī bhiiḌ meñ
safar kī tez dhuup meñ
ḳhushī kī koī bazm ho ki ġham kā silsila kahīñ
maiñ har jagah tumheñ faqat tumheñ talāshtā rahā
magar na jaane kyā huā
maiñ thak gayā
maiñ thak gayā tumhāre naqsh-e-pā talāshte hue
maiñ thak gayā huuñ is badan meñ jaan Dālte hue
ye sochtā huuñ
zindagī ke bojh ko maiñ ab nahīñ uThā.ūñgā
bhale tumheñ ḳhabar na ho
maiñ tum ko bhuul jā.uñgā
tumhaare ba'd kya hua
tumhein to kuchh KHabar nahin
ghamon ne zindagi ke sare zawiye badal diye
meri tamam KHwahishon ke hausle kuchal diye
meri to sari 'umr hi isi mein kaT ke rah gai
udasiyon ki bhiD mein
safar ki tez dhup mein
KHushi ki koi bazm ho ki gham ka silsila kahin
main har jagah tumhein faqat tumhein talashta raha
magar na jaane kya hua
main thak gaya
main thak gaya tumhaare naqsh-e-pa talashte hue
main thak gaya hun is badan mein jaan Dalte hue
ye sochta hun
zindagi ke bojh ko main ab nahin uThaunga
bhale tumhein KHabar na ho
main tum ko bhul jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.