tumhaare jaisa koi nahin hai
mohabbatoñ kī mahaktī shāmoñ kā dilrubā sā ḳhayāl tum ho
ḳhulūs anmol hai tumhārā
suno sarāpā jamāl tum ho
kamāl tum ho
mire liye zindagī kī zinda misāl tum ho
vo kah rahī thī
hasīn ḳhvāboñ kī chilmanoñ se
maiñ tum ko suntī huuñ dhaḌkanoñ se
to ḳhushbū aatī hai kanganoñ se
mujhe tumhāre gudāz lahje se lutf aatā hai zindagī kā
tumhī se rishta hai har ḳhushī kā
vo kah rahī thii.
maiñ sun rahā thā
maiñ zer-e-lab muskurāhaTeñ us kī chun rahā thā
maiñ us ke lafzoñ se
taaza nazmoñ kā tānā-bānā sā bun rahā thā
ki dil jo haarā
to us ke hoñToñ pe narm ehsās se bharā apnā haath rakh kar
kahā ḳhudārā
suno to yaarā
tumhārī āñkhoñ se dekhtā huuñ to saarī duniyā bahut hasīñ hai
jo merī nazroñ se tum bhī dekho
tumhāre jaisā koī nahīñ hai
mohabbaton ki mahakti shamon ka dilruba sa KHayal tum ho
KHulus anmol hai tumhaara
suno sarapa jamal tum ho
kamal tum ho
mere liye zindagi ki zinda misal tum ho
wo kah rahi thi
hasin KHwabon ki chilmanon se
main tum ko sunti hun dhaDkanon se
to KHushbu aati hai kanganon se
mujhe tumhaare gudaz lahje se lutf aata hai zindagi ka
tumhi se rishta hai har KHushi ka
wo kah rahi thi
main sun raha tha
main zer-e-lab muskurahaTen us ki chun raha tha
main us ke lafzon se
taza nazmon ka tana-bana sa bun raha tha
ki dil jo haara
to us ke honTon pe narm ehsas se bhara apna hath rakh kar
kaha KHudara
suno to yara
tumhaari aankhon se dekhta hun to sari duniya bahut hasin hai
jo meri nazron se tum bhi dekho
tumhaare jaisa koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.