tumhaare liye meri aaKHiri nazm
ye shahar chāhe hazār sadiyoñ kī jiddatoñ kā libās pahne
yahāñ ke baasī bhale koī bhī zabān boleñ
vafā ke ma.anī vafā raheñge
diloñ ke mausam meñ pat-jhaḌoñ kā savāl kaisā
ḳhizāñ se mohlat na paane vaale
havā kī bātoñ meñ aane vaale
larazte girte bikharte patte
junūñ kī shāḳhoñ pe ishq ban kar ugā kareñge
bichhaḌte rasto
kisī ke naqsh-e-qadam pe likkhī
mohabbatoñ kā ḳhayāl karnā
kabhī añdhere meñ dhuup nikle to
chāñdnī se savāl karnā
vo aadmī jo havā se ḳhushbū nithār letā thā
ab kahāñ hai
dhueñ ko vāpas jo sho.alagī meñ utaar letā thā
ab kahāñ hai
vo apnī vahshat ke bal pe zinda
vafā ke mausam kā ik parinda
jo dil ke pinjre meñ be-gunāhī bhugat rahā hai
sukūñ na aa.e to us se milnā
kabhī mohabbat meñ ġharq ho kar
vo apnī nazroñ se dekhtā hai
diloñ ko duniyā se farq ho kar
ye shahar chahe hazar sadiyon ki jiddaton ka libas pahne
yahan ke basi bhale koi bhi zaban bolen
wafa ke mani wafa rahenge
dilon ke mausam mein pat-jhaDon ka sawal kaisa
KHizan se mohlat na pane wale
hawa ki baaton mein aane wale
larazte girte bikharte patte
junun ki shaKHon pe ishq ban kar uga karenge
bichhaDte rasto
kisi ke naqsh-e-qadam pe likkhi
mohabbaton ka KHayal karna
kabhi andhere mein dhup nikle to
chandni se sawal karna
wo aadmi jo hawa se KHushbu nithaar leta tha
ab kahan hai
dhuen ko wapas jo shoalagi mein utar leta tha
ab kahan hai
wo apni wahshat ke bal pe zinda
wafa ke mausam ka ek parinda
jo dil ke pinjre mein be-gunahi bhugat raha hai
sukun na aae to us se milna
kabhi mohabbat mein gharq ho kar
wo apni nazron se dekhta hai
dilon ko duniya se farq ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.