tumhaari boli ki ranginiyan
kitne rangoñ ke naam haiñ
tumhārī bolī meñ
duniyā tumheñ utnī hī rangīn nazar aa.egī
apnī bolī meñ maujūd
sab daraḳhtoñ ke naam yaad karo
taaki baiTh sako har dafa
muḳhtalif naam ke saa.e meñ
barf kī kitnī qismoñ ke naam jānte ho
agar tum eskimo hote
to barf kī biis qismoñ kī pahchān kar paate
kahīñ insānī jazbāt kī
bahut saarī qismeñ to nahīñ haiñ
tumhārī bolī meñ
aisā na ho jazbāt ke sivā
kuchh na ho tumhāre dimāġh meñ
agar log kam ho ga.e haiñ tumhāre aas paas
to rakh lo ek hī shaḳhs ke ka.ī ka.ī naam
aur mohabbat ke liye DhūñDo
bahut saare naam
mere saath mil kar
taaki ham kar sakeñ har dafa
na.e naam kī mohabbat
kitne rangon ke nam hain
tumhaari boli mein
duniya tumhein utni hi rangin nazar aaegi
apni boli mein maujud
sab daraKHton ke nam yaad karo
taki baiTh sako har dafa
muKHtalif nam ke sae mein
barf ki kitni qismon ke nam jaante ho
agar tum eskimo hote
to barf ki bis qismon ki pahchan kar pate
kahin insani jazbaat ki
bahut sari qismen to nahin hain
tumhaari boli mein
aisa na ho jazbaat ke siwa
kuchh na ho tumhaare dimagh mein
agar log kam ho gae hain tumhaare aas pas
to rakh lo ek hi shaKHs ke kai kai nam
aur mohabbat ke liye DhunDo
bahut sare nam
mere sath mil kar
taki hum kar saken har dafa
nae nam ki mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.