tumhaari shaera pagal
tumhārī shā.era pāgal
hazāroñ sher likhtī
nazm aur ġhazleñ kahā kartī
hamesha sochtī rahtī
koī kāġhaz kā TukḌā DhūñDhtī aur dil kā saarā haal likh detī
ki us ke paas to kitne hī lafzoñ kā zaḳhīra thā
siyāhī suukh jaatī jab qalam ḳhāmosh ho jaate
to phir aañsū syāhī bante jaate lafz kab ḳhāmosh hote the
tumhārī shā.era pāgal
hazāroñ lafz le kar jab
tumhāre sāmne aatī
tumheñ jab ik nazar taktī
to us ke lafz saare harf jumle sher nazmeñ aur vo ġhazleñ
tumhārī kattha.ī āñkhoñ meñ kho jātīñ
anokhī chup sī lag jaatī
tumhārī shā.era ḳhāmosh vāpas lauT jaatī thī
na aañsū bolte na lafz us kā saath dete the
tumhārī shā.era pāgal
kisī sakte meñ rahtī der tak
tā-der chup rahtī
jūñhī bistar pe jaatī
ashk bārish ban ke bah jaate
vo saare lafz lauT aate
vo aañsū chuntī rahtī aur
vo shab bhar karvaTeñ aur silvaTeñ gintī
sub.h tak sochtī rahtī
fajar tak lafz buntī harf chuntī aur phir se jab
tumhāre sāmne aatī
tumheñ jab ik nazar taktī
to us ke lafz saare harf jumle sher nazmeñ aur vo ġhazleñ
tumhārī kattha.ī āñkhoñ meñ kho jātīñ
anokhī chup sī lag jaatī
anokhī chup
qadam bojhal vo le kar lauT aatī thī
yūñhī har saal hotā thā
tumhārī shā.era pāgal
tumheñ taktī to us ke lafz hī ḳhāmosh ho jaate
kabhī fursat mile tum ko to us kī nazm paḌh lenā
tumhārī shā.era pāgal
tumhaari shaera pagal
hazaron sher likhti
nazm aur ghazlen kaha karti
hamesha sochti rahti
koi kaghaz ka TukDa DhunDhti aur dil ka sara haal likh deti
ki us ke pas to kitne hi lafzon ka zaKHira tha
siyahi sukh jati jab qalam KHamosh ho jate
to phir aansu syahi bante jate lafz kab KHamosh hote the
tumhaari shaera pagal
hazaron lafz le kar jab
tumhaare samne aati
tumhein jab ek nazar takti
to us ke lafz sare harf jumle sher nazmen aur wo ghazlen
tumhaari katthai aankhon mein kho jatin
anokhi chup si lag jati
tumhaari shaera KHamosh wapas lauT jati thi
na aansu bolte na lafz us ka sath dete the
tumhaari shaera pagal
kisi sakte mein rahti der tak
ta-der chup rahti
junhi bistar pe jati
ashk barish ban ke bah jate
wo sare lafz lauT aate
wo aansu chunti rahti aur
wo shab bhar karwaTen aur silwaTen ginti
subh tak sochti rahti
fajar tak lafz bunti harf chunti aur phir se jab
tumhaare samne aati
tumhein jab ek nazar takti
to us ke lafz sare harf jumle sher nazmen aur wo ghazlen
tumhaari katthai aankhon mein kho jatin
anokhi chup si lag jati
anokhi chup
qadam bojhal wo le kar lauT aati thi
yunhi har sal hota tha
tumhaari shaera pagal
tumhein takti to us ke lafz hi KHamosh ho jate
kabhi fursat mile tum ko to us ki nazm paDh lena
tumhaari shaera pagal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.