tumhein ijazat hai
kyoñ karte ho tum
fashion se bāhar
masnūī phūloñ se
itnī ziyāda nafrat
ye bhar dete haiñ rang
hamāre kamroñ meñ
aise gharoñ ke
jin meñ baaġh nahīñ haiñ
gamle nahīñ haiñ
ham rahte haiñ mil-jul kar
sau se zaa.id gharoñ kī
ek imārat meñ
ajnabiyoñ ke saath
ye bachā lete haiñ
hameñ zahmatoñ se
har roz murjhāne vaale
phuul ḳharīdne aur badalne kī
yā baaġh rakhne kī
tumheñ ijāzat hai
hamārī qabr par masnūī phuul rakh denā
kyon karte ho tum
fashion se bahar
masnui phulon se
itni ziyaada nafrat
ye bhar dete hain rang
hamare kamron mein
aise gharon ke
jin mein bagh nahin hain
gamle nahin hain
hum rahte hain mil-jul kar
sau se zaid gharon ki
ek imarat mein
ajnabiyon ke sath
ye bacha lete hain
hamein zahmaton se
har roz murjhane wale
phul KHaridne aur badalne ki
ya bagh rakhne ki
tumhein ijazat hai
hamari qabr par masnui phul rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.