tumhein kab lauTna hai mujhko likkho
tumheñ kab lauTnā hai mujh ko likkho
muntazir āñkhoñ ke Thahre pāniyoñ meñ
kaa.ī jamtī jā rahī hai
jo manzar kal talak taaza the
dhuñdlāne lage haiñ
yuuñ hī bekār baiThe shauq ke panchhī
bhī minqāroñ ko zer-e-par kiye
gītoñ se rishta toḌne kī kashmakash meñ
mubtalā haiñ
hamāre dil kā tesha vasvasoñ ke zang
kī yalġhār par girya-kunāñ hai
mirī jaañ
qabl is ke giit sab
fariyād kī lai meñ bikhar jaa.eñ
hamāre valvale un rāstoñ kī
ḳhaak ban jaa.eñ
mujhe likkho tumheñ kab lauTnā hai
tumhein kab lauTna hai mujh ko likkho
muntazir aankhon ke Thahre paniyon mein
kai jamti ja rahi hai
jo manzar kal talak taza the
dhundlane lage hain
yun hi bekar baiThe shauq ke panchhi
bhi minqaron ko zer-e-par kiye
giton se rishta toDne ki kashmakash mein
mubtala hain
hamare dil ka tesha waswason ke zang
ki yalghaar par girya-kunan hai
meri jaan
qabl is ke git sab
fariyaad ki lai mein bikhar jaen
hamare walwale un raston ki
KHak ban jaen
mujhe likkho tumhein kab lauTna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.