TuTam TuT gaya
kitnī āsānī se us ne rakh diyā
roTī kā pahiyā
vaqt ke chakkar ke bilkul sāmne
golā.iyoñ ke darmiyāñ phir ek TukḌā
taaḌ ke lambe tane kā
jis ne apne biij se bāhar nikalne kī sazā meñ
ek hī nuqte pe daa.im ghūmne
aur rath ke nīche aa ke kuchle jaane vaalī boTiyoñ kī
masḳh lāshoñ se guzarne ko muqaddar kar liyā
vo to aise mashġhaloñ meñ mast hai
jis samt chāhe jaa.e ghūme yā na.ī samteñ banā.e
merī kachchī shash-darī kuTiyā ke bāhar
ik khulā maidān hai
maidān jis ke ik sire se dūsre ko dekhne kī dūr-bīñ bhī
sirf us ke khel kā sāmān hai
khel garche khel kī had tak bahut achchhā lagā
maiñ ne bhī dekhā
to apnī tāliyoñ kā taḌtaḌātā giit us kī ok meñ Daalā
ḳhushī se bhar diyā jholī ko us kī
aañkh se umDe samundar āsmānoñ se gale milne lage
pyaas lekin bujh nahīñ paa.ī kisī bhī taur us kī
ḳhud-numā.ī kī satā.ish meñ taḌaptī zindagī daa.im rahegī
haañ magar ik umr kachchī bhurbhurī aadam kī miTTī se banī
khel kī ik umr hotī hai
jahāñ saare khilaune TuuT jaate haiñ chhanak se ek din
saañs roke sansanātī ḳhālī rah jaatī haiñ galiyāñ vaqt kī
suunī kalā.ī kī tarah
jis par kabhī shīshe kī rañgīñ chūḌiyāñ aTkheliyāñ khelī na hoñ
lāDle kanchoñ sī umreñ
tāliyoñ kī phūl-jhaḌiyoñ meñ bikhar kar TūTtī haiñ
aur us ke āsmānī manzaroñ kī ik dulhan
dekhte hī dekhte charḳhā sajā kar baiTh jaatī hai
dukhoñ kī barf jaisī ruuī kā
aao apne ḳhvāb ke resham se bāhar
charḳh-e-nīlī-fām ke TukḌe chuneñ
kitni aasani se us ne rakh diya
roTi ka pahiya
waqt ke chakkar ke bilkul samne
golaiyon ke darmiyan phir ek TukDa
taD ke lambe tane ka
jis ne apne bij se bahar nikalne ki saza mein
ek hi nuqte pe daim ghumne
aur rath ke niche aa ke kuchle jaane wali boTiyon ki
masKH lashon se guzarne ko muqaddar kar liya
wo to aise mashghalon mein mast hai
jis samt chahe jae ghume ya nai samten banae
meri kachchi shash-dari kuTiya ke bahar
ek khula maidan hai
maidan jis ke ek sire se dusre ko dekhne ki dur-bin bhi
sirf us ke khel ka saman hai
khel garche khel ki had tak bahut achchha laga
main ne bhi dekha
to apni taliyon ka taDtaData git us ki ok mein Dala
KHushi se bhar diya jholi ko us ki
aankh se umDe samundar aasmanon se gale milne lage
pyas lekin bujh nahin pai kisi bhi taur us ki
KHud-numai ki sataish mein taDapti zindagi daim rahegi
han magar ek umr kachchi bhurbhuri aadam ki miTTi se bani
khel ki ek umr hoti hai
jahan sare khilaune TuT jate hain chhanak se ek din
sans roke sansanati KHali rah jati hain galiyan waqt ki
suni kalai ki tarah
jis par kabhi shishe ki rangin chuDiyan aTkheliyan kheli na hon
laDle kanchon si umren
taliyon ki phul-jhaDiyon mein bikhar kar TuTti hain
aur us ke aasmani manzaron ki ek dulhan
dekhte hi dekhte charKHa saja kar baiTh jati hai
dukhon ki barf jaisi rui ka
aao apne KHwab ke resham se bahar
charKH-e-nili-fam ke TukDe chunen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.