udasiyon ki rut
udāsiyoñ kī rut bhī kyā ajiib hai
koī na mere paas hai
tum to mere paas ho
magar kahāñ
havā kī ḳhushbuoñ meñ
sabz raushnī kī dhuul meñ
dil meñ bajtī tāliyoñ ke paas
udāsiyoñ ke zard baal jal uThe the us ghaḌī
tumhārī sard yaad ke safed phuul khil uThe the jis ghaḌī
nazar meñ ik safed barf gir rahī thī duur tak
surḳh beleñ khil uThī thiiñ yaad kī chhatoñ ke paas
udāsiyoñ kī rut bhī kyā ajiib hai
yaad kī chhatoñ pe surḳh phuul haiñ
duur duur sabz raushnī kī dhuul hai
aur barf gir rahī hai ḳhāmushī ke sard jañgaloñ ke paas
udasiyon ki rut bhi kya ajib hai
koi na mere pas hai
tum to mere pas ho
magar kahan
hawa ki KHushbuon mein
sabz raushni ki dhul mein
dil mein bajti taliyon ke pas
udasiyon ke zard baal jal uThe the us ghaDi
tumhaari sard yaad ke safed phul khil uThe the jis ghaDi
nazar mein ek safed barf gir rahi thi dur tak
surKH belen khil uThi thin yaad ki chhaton ke pas
udasiyon ki rut bhi kya ajib hai
yaad ki chhaton pe surKH phul hain
dur dur sabz raushni ki dhul hai
aur barf gir rahi hai KHamushi ke sard jangalon ke pas
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.