ufaq pe
vo ek maiñ hī nahīñ huuñ
na jaane kitne haiñ
jo sochte haiñ samajhte haiñ chāhte bhī haiñ
ki phūTtī huī pahlī kiran se bhī pahle
ufuq pe vaqt ke chamkeñ
nayā sā rañg bhareñ
jo sub.h ho
to nasīm-e-sahar kā saath dhareñ
samīr ban ke baheñ
rañg-o-bū kī dhartī par
guloñ se baat kareñ
har galī se khul khileñ
magar ye vaqt
ye sahmā huā Darā huā vaqt
ye apne saa.e se bidkā
ye hāñptā huā vaqt
kabhī idhar ko ravāñ hai kabhī udhar ko davāñ
sapīda-e-saharī kyā
savād-e-shām kahāñ
ufuq pe kuchh bhī nahīñ
hai bas ik ġhalīz dhuāñ
wo ek main hi nahin hun
na jaane kitne hain
jo sochte hain samajhte hain chahte bhi hain
ki phuTti hui pahli kiran se bhi pahle
ufuq pe waqt ke chamken
naya sa rang bharen
jo subh ho
to nasim-e-sahar ka sath dharen
samir ban ke bahen
rang-o-bu ki dharti par
gulon se baat karen
har gali se khul khilen
magar ye waqt
ye sahma hua Dara hua waqt
ye apne sae se bidka
ye hanpta hua waqt
kabhi idhar ko rawan hai kabhi udhar ko dawan
sapida-e-sahari kya
sawad-e-sham kahan
ufuq pe kuchh bhi nahin
hai bas ek ghaliz dhuan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.