ufaq zamir ki tarikiyon se aaluda
Interesting Fact
1999
ufuq zamīr kī tārīkiyoñ se ālūda
dil-o-nazar meñ vahī intiqām ke sho.ale
kahīñ pe ḳhuun kahīñ par hai ābrū-rezī
jahālatoñ ke samundar meñ Dūbte insāñ
uThā.e dosh pe ik munsifī ke lāshe ko
phire hai shahr meñ insāniyat kā saarā vajūd
na koī daad na fariyād sunñe vaalā hai
hamāre dard ko rāhat se bharne vaalā hai
chalo ki duur chaleñ shahr kī fasīloñ se
yahāñ to maut kī har roz vārdāteñ haiñ
yahāñ to ḳhuun ke charche haiñ aur kuchh bhī nahīñ
kahīñ to amn aur insāf kī zamīñ hogī
jahāñ pe ḳhauf kā saaya na koī Dar hogā
chalo ki aisī zamīñ kī kahīñ talāsh kareñ
chalo ki duur chaleñ shahr kī fasīloñ se
ufuq zamir ki tarikiyon se aaluda
dil-o-nazar mein wahi intiqam ke shoale
kahin pe KHun kahin par hai aabru-rezi
jahaalaton ke samundar mein Dubte insan
uThae dosh pe ek munsifi ke lashe ko
phire hai shahr mein insaniyat ka sara wajud
na koi dad na fariyaad sunne wala hai
hamare dard ko rahat se bharne wala hai
chalo ki dur chalen shahr ki fasilon se
yahan to maut ki har roz wardaten hain
yahan to KHun ke charche hain aur kuchh bhi nahin
kahin to amn aur insaf ki zamin hogi
jahan pe KHauf ka saya na koi Dar hoga
chalo ki aisi zamin ki kahin talash karen
chalo ki dur chalen shahr ki fasilon se
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 83)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.