ufuq ke us par
vo ik ghaḌī bhī
kabhī mirī zindagī meñ aa.ī thī ittifāqan
ki maiñ kisī kā nahīñ thā
merā koī nahīñ thā
maiñ lauh-e-mahfūz kī tarah thā
samajh rahā thā
ki saarī fardā-o-dī kī bāteñ
haiñ zehn par naqsh-e-jāvedāñ sī
vo sab havādis
jo aane vaale haiñ
lauh-e-dil par likhe hue haiñ
maiñ ab kisī kā nahīñ huuñ koī mirā nahīñ hai
agar tum us din
zarā sī himmat se kaam letīñ
zarā sā tum mujh pe haq jatātīñ
to zindagī kā vo moḌ hī
kuchh ajiib hotā
ufuq ke us paar
kaun jaane
koī mire intizār meñ
kab tak apnī āñkheñ
lahū bahā kar ḳharāb kartā
wo ek ghaDi bhi
kabhi meri zindagi mein aai thi ittifaqan
ki main kisi ka nahin tha
mera koi nahin tha
main lauh-e-mahfuz ki tarah tha
samajh raha tha
ki sari farda-o-di ki baaten
hain zehn par naqsh-e-jawedan si
wo sab hawadis
jo aane wale hain
lauh-e-dil par likhe hue hain
main ab kisi ka nahin hun koi mera nahin hai
agar tum us din
zara si himmat se kaam letin
zara sa tum mujh pe haq jatatin
to zindagi ka wo moD hi
kuchh ajib hota
ufuq ke us par
kaun jaane
koi mere intizar mein
kab tak apni aankhen
lahu baha kar KHarab karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.