ujDa sa jazira
zaḳhm jaise ki zabāñ rakhte haiñ
raat bhar haal sunāte haiñ mujhe
jāgte rahte haiñ saare
mire kamre ke charāġh
dard merā bāñTte haiñ
yak-ba-yak dil meñ utar aatā hai
koī ujḌā sā jazīra aur phir
siskiyāñ shor machātī haiñ havāoñ kī tarah
aur baḌhtī hai tirī yaad kī shiddat mujh meñ
ġham kā idrāk mire hosh bhulā detā hai
kuchh bagūle mire āñgan meñ bikhar jaate haiñ
maiñ unheñ dekhūñ to āñkhoñ meñ simaT aate haiñ
niiñd palkoñ se ulajhtī hai chalī jaatī hai
aur chupke se phir āñkhoñ meñ namī aatī hai
itnā phailā huā sahrā hai ġhamoñ kā mujh meñ
koī qatra koī dariyā koī qulzum bhī jise
kabhī sairāb nahīñ kar saktā
koī chāhe bhī agar
mere sunsān shabistān ko ābād nahīñ kar saktā
zaKHm jaise ki zaban rakhte hain
raat bhar haal sunate hain mujhe
jagte rahte hain sare
mere kamre ke charagh
dard mera banTte hain
yak-ba-yak dil mein utar aata hai
koi ujDa sa jazira aur phir
siskiyan shor machati hain hawaon ki tarah
aur baDhti hai teri yaad ki shiddat mujh mein
gham ka idrak mere hosh bhula deta hai
kuchh bagule mere aangan mein bikhar jate hain
main unhen dekhun to aankhon mein simaT aate hain
nind palkon se ulajhti hai chali jati hai
aur chupke se phir aankhon mein nami aati hai
itna phaila hua sahra hai ghamon ka mujh mein
koi qatra koi dariya koi qulzum bhi jise
kabhi sairab nahin kar sakta
koi chahe bhi agar
mere sunsan shabistan ko aabaad nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.