ulajhti rahti hun
ulajhtī rahtī huuñ ye soch soch kar aksar
maiñ kis binā pe abhī tujh se pyaar kartī huuñ
hazār baar ḳhatā tujh se khaa.ī hai phir bhī
abhī talak maiñ tirā e.atibār kartī huuñ
na-jāne kitnī umr chāhiye abhī mujh ko
tumhārī zaat ke asrār jānñe ke liye
maiñ kyā karūñ ki mujhe hausla nahīñ hotā
is ek talḳh haqīqat ko mānñe ke liye
ki tū kabhī bhī mirā ḳhvāb ban nahīñ saktā
baḌā tazād hai ḳhvāboñ meñ aur haqīqat meñ
maiñ intihā-pasand huuñ mohabbat meñ jabki tū shāyad
hai rakhtā ek tavāzun kī had mohabbat meñ
ulajhti rahti hun ye soch soch kar aksar
main kis bina pe abhi tujh se pyar karti hun
hazar bar KHata tujh se khai hai phir bhi
abhi talak main tera eatibar karti hun
na-jaane kitni umr chahiye abhi mujh ko
tumhaari zat ke asrar jaanne ke liye
main kya karun ki mujhe hausla nahin hota
is ek talKH haqiqat ko manne ke liye
ki tu kabhi bhi mera KHwab ban nahin sakta
baDa tazad hai KHwabon mein aur haqiqat mein
main intiha-pasand hun mohabbat mein jabki tu shayad
hai rakhta ek tawazun ki had mohabbat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.